Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bleeding Doc Jun 2018
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha,  jo Badal raha wo 'waqt' hai?  
  waqt to Aaj bhi waisa he hai  bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam
Par tab naa bhigne se lagta tha darr  or  naa sardi jukam,
or wo pani ki shrarate tamam
Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan  
par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me
kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me
Kaise jivan ke Arth badalte gaye
Kyo ek funny poem likhne wale
Emotional likhne pe majboor ** gaye

Hawa k jharoko se kashti hilti gayi
waqt k sath mein tau badlta gaya
aur yeh zindagi chalti rahi

pal pal nayi hasratein
har pal naye khwab bunti gayi
aur yeh zindagi chalti gayi

raah mein manzar tau bahut aaye
bulate rahe mujhe mere saaye
mein tau ek pal ko ruk sa gaya
par yeh zindagi chalti gayi

yaadon k saaye mein zinda *** abhi
lagta hai tham sa gay *** mein kahin
par zindagi bewafa sanam si nikli
mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi

jindagi har pal apne arth badalti rahi
ham hanste rahe chahhe rote rahe
par woh apni rafataar se bas behati rahi
kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar
woh  hame har mod per milti rahi
ham tutate rahe, bikharate rahe
 fir khud hi gir ke sambhalte rahe
aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi

gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage
khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi
kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat
apne hi jab todate rahe......
toh saans meri har pal ghutati rahi
bas jindagi yuh hi chalti rahi
har pal apne arth badalati rahi
Shrivastva MK Apr 2018
Waqt bhi kitna khubhsurat hai ,
Aate jaate logon ki duniya ujaad deta hai .
Kehte hain waqt saare ghav bhar deta hai ,
Asliyat tou ye hai waqt dard ke saath jeena sikha deta hai .

Do pal ki hai ye zindagani ,
Na do kisi ki ankhiyon mein paani.
Jo lamhein hain chaliye muskurakar bita le,
Jaane kal zindagi kaun se mod par lakar khada kar de .

Kya pta kal saanse hi tham gayi ** ,
Kitna bhi pakad lo .
Fisalta jaroor hai ,
Ye waqt ki fitrat hai yaaro badalta jaroor hai.

Band ghadi bhi din mein do baar sahi samay btati hai,
Man se na haarna aye dost meri tumse gujarish hai .
Maidan se haara dubara jeet sakta hai ,
Man ke haare haar hai man ke jeete jeet hai .

Waqt kahega har baar main lautkar na aaunga,
Khuda Jaane wo hasayega ya rulayega.
Waqt har chiz ki parakh sikha hai jaata ,
Kisi ke khatir ek pal bhi nahi hai theharta.

Waqt ne kisi ko jina sikhaya hai,
Waqt ne sach ka aaina dikhaya hai,
Waqt ka azuba dekho yaaro,
Kisi ko raja tou kisi ko rank banaya hai,

Waqt ne hamara ahamiyat btaya hai,
Waqt ne hume kaanto pr chlna sikhaya hai,
Jisne bhi waqt ko gale lagaya hai,
Use waqt ne us aasmaa jaisi uchai pr pahuchaya hai,

Kitni azeeb baat hai,
Waqt se din waqt se raat hai,
Aaj shaam hai tou kal savera bhi hoga,
Success bhi milegi aur danka bhi bajega,

Waqt ki ahamiyat ko jo log bhul jate hai,
Ant me sirf whi log aansoo bahate hai,
Rote hua es duniya me aate hai,
Vyarth jivan jikar rote hue chale jate hai....✍


Collaboration  by Manish Shrivastva  and Sonia Paruthi
VENUS62 Jun 2014
Ek din ki hai, ye, dastaan
Bichad gaye, do dil, yahan- wahan

Karvate,  badal rahi thi, dharti
Angdaiyan, le raha tha, aasman

Idhar  ** gayee thi shaam
Udhar ** gaya tha savera

Idhar  jal raha tha diya
Udhar buj gayi thi baati

Idhar ro raha tha dil mera
Udhar nagin se mil raha tha sapera!
Just written for fun, wanted to use words like angdayian and karvate
Purva Barva Jun 2020
E mann tu kyu rota hai,
Kuch 2 pal ki hi to hai zindagi,
Phir tu itna kyun sochta hai,
Har pal ek naya daur hai,
Ek naya savera, aur ek nai ummeed hai,
Bas itni si baat hai Zindagi,
Kuch pal haseen, to kuch bas yuhin hai zindagi,
Bas 2 pal ki hi to hai Zindagi!!
Bas 2 pal ki hi to hai Zindagi!!
LLZ Apr 2020
Ab in aanko mein ,
Neend ki jagah Teri,
Yaado mein bahi aasuo,
Ne kar liya hai basera😭😭

Chod mujhe u tanha ,
Tune Chun liya hai khushiyu ,
Ka savera☀️

Teri is bewaafai se bun liya ,
Humne rishta gehra,
Deke tuhje sukkon  Zindagi ka,
Chun liya humne raat ka andhera🌌🌌
misterN Aug 2020
Kabhie Roshani ....
Kabhie Andhera  .....
Kab Hauga Savera
Kab Ghar Basaiga

— The End —