Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Megha Thakur  Jun 2020
Ye Raste
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Shrivastva MK  Jun 2017
MAA
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother
Eshan  Mar 2011
Daud
Eshan Mar 2011
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge,
kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar,
ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge.

Daudne ki kuch aisi adat se ** gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete,
lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye,
aur woh sabhi raste anjane se ** jayenge.

Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha,
lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha.

Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge.
Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye,
lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain.

Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se,
lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge.

Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake.

Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai,
kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ** gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
Shrivastva MK Apr 2018
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan ,
Kamzor nahi padegi hamari udaan .
Chhaon ** ya kadakti dhoop ,
Nikhrega hamara naya roop .

Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum,
Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam,
Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na **,
Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum

Bheedh hamesha us raastey par hai chalti ,
Jahan ** na koi mushkil khadi .
Par humne chuna hai raasta alag ,
Kyunki karna hai humne kuch alag .

Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho,
Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho,
Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega,
Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega,

Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer,
Takleef ke hain hum mahaveer.
Na chahat hai sitaron ki ,
Na tamanna hai nazaron ki.

Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai,
Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai,
whi log asafal rah jate hai,
Jo mushkilo se darr tut jate hai,

Har mushkil ka saamna kar ,
Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par .
Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi ,
Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi .

Hum wo hai jo Kismat par rote nahi
Jo rote hai unke kuchh hote nahi,
Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya,
Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya,

Laakhon kasht aa jaye saamne ,
Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage .
Musibaton se baghna na humne kabhi seekha ,
Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha.

Milkar humne ye thana hai,
Naam nahi hume etihaas banana hai,
Ab kisi bhi mushkil se na darna hai,
Kyuki Hume kuchh alag karna hai,
Kuchh alag karna hai..


Collab Poem by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
aviisevil  Jun 2015
Dil-e-kurbaan
aviisevil Jun 2015
wo din bhi kya the
jab neend hume sulati thi
sapno ki ek duniya
hume kahin dur le jati thi
wahin pe ab dafan hai
beete dino ki pehchan
mere har kal mai
aur meri har saans
beete dino ki wo duniya
guzre zamane ke wo pal
kahin gum hain wo garmiyan
ab to bus suna hai ye kal
gumshuda hain wo chehre
jinhone hume jeena sikhaya
rakh ** chale wo chehre
jinhe mitna ras aya
me bhi ek chehra ***
anginat ankhon me se ek
is samandar me mera bhi
wo haq hai
chahe lakhon me ek
par wo bolten hain
me to *** hi ek *****
ki ek tuta dil
fir nahi dhadakta hai
wo puchten nahi
in bhari mehfil
is tute dil me-
akhir kya rakha hai
Notes (optional)
rashi gupta Jan 2012
manzil humari hume pata nahi
phir bhi chale ja rahe hai,kisi raah pe

ajnabee kaun,kaun humsafar hai
bhulte ja rahe hai is rah pe

akele the akele hai
akele hi chale ja rahe hai is raah pe

kaha kisine kiya humne
manzil mili nahi is raah pe

manzil na sahi, koi thikana to **
jaha ruk kr samye bita sake is raah pe

kathin hai pana is manzil ko mana
par sabbra hi to hum kho rahe hai is raah pe

chale ja rahe hai, chale ja rahe hai
hum is ajnabee si raah pe

dikhai di hume manzil humari
chalte chalte is raah pe

jab pahuche hum us manzil pe
dikhai di ek aur raah is raah pe.........
Shrivastva MK Jul 2017
ज़िन्दगी का सफ़र बढ़ता चला गया,
हम रोते रह गए बीती बातो को सोच कर,
और एक वक्त है जो बिन परवाह गुज़रता चला गया,

वो हमे ढूंढते रह गए प्यार के गलियो में,
और मेरा प्यार उनके याद में खोता चला गया,

न मंज़िल का पता था न रहने का कोई ठिकाना,
पर ये कम्बख़त दिल है जो उनके प्यार में भटकता चला गया,

मुस्कुराता रहा दिल उनकी मुस्कान देखकर,
और आँखे मेरी उनकी ख्वाब में बहता चला गया,

हमने सोचा था की बड़ा हसीन होंगे हर पल मेरे उनके साथ,
और एक उनका "साथ" है जो किसी और का होता चला गया,

आज तो गज़ब हो गया हम ढूंढते रह गए प्यार के पन्नों को,
और मेरी कलम है जो उन पन्नों में लिपटकर रोता चला गया,

ज़िन्दगी बहुत आसान है यारो अगर आप चाहो तब,
आपने लड़ना छोड़ा,और ये अपनी कस्मकश में हमे डुबोता चला गया,
हमे डुबोता चला गया......|




Zindagi ka safar badhta chalo gya,
Hum rote rah gye biti bato ko soch kar,
Aur ek waqt hai Jo bin parwaah guzarta chala gya,

Wo Hume dhundhte rah gye pyar Ke galiyo me,
Aur mera pyaar unke yaad me khota chala gya,

Na manzil ka pata tha na rahne ka koi thikana,
Par ye kambakhat dil hai Jo unke pyaar me bhatakta chala gya,

Muskurata raha dil unki muskan dekh kar,
Aur aankhen meri unke khwab me bahta chala gya,

Humne socha tha Ki bada haseen honge har pal mera unke sath,
Aur ek unka "Sath" hai Jo kisi aur ka hota chala gya,

Aaj to gazab ** gya hum dhundhte rah gye pyaar ke panno ko,
Aur meri kalam hai Jo un panno me lipatkar rota chala gya,

Zindagi bahut aasan hai yaaro agar aap chaho tab,
Aapne ladna chhoda, aur ye apni kasmkash me Hume dubota chala gya,
Hume dubota chala gya.....

मनीष कुमार श्रीवास्तव
Translation is not available
Ravin  Oct 2018
Kaun ho tum..
Ravin Oct 2018
Tera naa hona utni takleef nehi deta jitna tera hoke naa hona takleef deta hai, Tuu door hii sahi thi phir kyon paas hone kaa ehsaas dila diya..

Teri majboriyon nee hume is kabil bana diya, anjaani mehafilon mai muskurana sikha diya..

Jate jate kuch haseen pal chod gye ** tum, in palon ne hume akele mai rona sikha diya..

Chaahate to rok lete tujhko, magar Zindagi kuch is kadar intehaan le rehe thi, kii sab kuch tha, magar phir bhi hume fakeer hone ka ehsaas dila rahi thi...

Majbooriyan humari bhi kuch aise thi, jinhone hume tumhare bina jeena sikha diya..

Kaun ** tum jisne hume pathar see phir insaan bana diya...
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Dilo Ka Aashiyan, Hai ab, hume paas laa raha
Tumse milke Dil ye mera, Khwaboo se hai yu kah raha
Dilo Ka Aashiyan, Hai ab, hume paas laa raha
Tumse milke ye Dil mera, Khwaboo se hai yu kah raha

Meri saanso ko teri saanso ka, Shukrana
Teri Sajde me jee raha , Mehzara
Meri saanso ko teri saanso ka, Shukrana
Teri sajde me jee raha , Mehzara


Naa kasam, Naa koi wada, Naa hi Irada
Fir kislie Dil mera Bekrar rahta hai
Naa koi tamannah Na koi Khwahish, Aarzu
Fir kyu Mujhe Tera Intzar sa rahta hai

Har ek Lamha ab dil mera pareshan rahta hai
Har ek aahat par ab tera intzar rahta hai
Ek duje se naa bichde yeh Dua kyu karta hai
Teri Baahoo me meri jannat
Teri zulfo me meri chahat

Meri saanso ko teri saanso ka, Shukrana
Teri Sajde me jee raha , Mehzara
Dilo Ka Aashiyan, Hai ab, hume paas laa raha
Tumse milke Dil ye mera, Khwaboo se hai yu kah raha
Meri saanso ko teri saanso ka, Shukrana
Teri sajde me jee raha , Mehzara
MEHZARA
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi  Aug 2015
Maa
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro

— The End —