Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hira malik Nov 2018
Ehsaas kay dareechay main
Baynaam sa aik shahar basta hai
Har roz wahan log uth-tay hain
Qaroobar kay hangaamon main
Koe mun dho kar nikalta hai
Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai
har roz wahan aik kahani hai
Jo tmhain mjhay sunani hai
Har saa-at wahan aik tamasha hai
Jo rukta aur shaur machata hai
Raat ki taareeki main
Jab sab thak kar laut aatay hain
Apnay **** ki thakawat ko
Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain
Aur yunhi so jatay hain.....
Ehsaas kay dareechay main
Jo aik bay- naam sa shahar basta hai
Uss basti ki sab hastion main
Chupa bacha din bhar hansta hai
Aur shab dhalay, sarhanay  mun day kar rota rahta hai.....
Alisha Patel May 2014
Nahi hota kisi tabib sy is marz ka ilaj,
Ishq la ilaj ha bas ahtiat kijiye...!!!
--------------------------------------------
Bewaja nahi rota ishq mein GHALIB,
Jisy khud sy barh ky chaho woh rulata zaroor ha...!!!
--------------------------------------------
Sukoon aur ishq wo bhi dono aik sath,
Rahny do GHALIB koi aqal ki bat karo...!!!
--------------------------------------------
Misl shesha hain hamein thaam ky rakhna GHALIB,
Ham tery hath sy choty to bikhar jaein gy...!!!
- See more at: http://tinyurl.com/q2du94e
Mirza Ghalib was a great poet of India.
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Jis Ki Janib Woh Nazar Apni Uttha Lete Hain
Uss Ki Soyee Hui Taqdeer Jaga Dete Hain

Towards whom they raise their glance
His resting destiny they awaken in a trance


Teri Duzdeeda Nigahon Ko Dua Dete Hain
Jitne Chubte Hain Yeh Teer Utna Maza Dete Hain

For your peeking gazes, I pray
The more these arrows wound, the more delighted I lay


Jab Se Dekha Hai Unhein Apna Mujhe Hosh Nahin
Jane Kya Cheez Woh Nazroon Se Pila Dete Hain

Ever since them I saw, senseless I have become
What they pour from their glances, a mystery it has become


Takht Kya Cheez Hai Aur Laal-o-Jawahir Kya Hai
Ishq Wale To Khudai Bhi Loota Dete Hain

What is a throne and what are lustrous jewels?
Lovers surrender divinity against the rules


Aik Din Aisa Bhi Ata Hai Mohabbat Mein Zaroor
Khud Ko Ghabra Ke Naqab Apna Uttah Lete Hain

There is one such moment in love, indeed!
With nervousness, they raise their veil


Apni Barbadi Pe Khush Hoon Yeh Suna Hai Jabse
Woh Jisse Apna Samajhte Hain Mitta Dete Hain

Happy with my own ruin I am, ever since I have learned
Who they consider their own, obliterated have turned


Apne Daman Ko Zara Aap Bacha Kar Rakhna
Sakhat Aahon Se Bhi Hum Aag Laga Dete Hain

Your own hem a little, you save and claim
With deep sighs, we set the fire aflame


Jis Ki Janib Woh Nazar Apni Uttha Lete Hain
Uss Ki Soyee Hui Taqdeer Jaga Dete Hain*

Towards whom they raise their glance
His resting destiny they awaken in a trance


— Translated by Jamil Hussain, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Hira malik Jan 2018
Guzar gay kaey din , kiay gham-e-jaanaan main hijrat
Aik wohi tou umeed thee apni, ikk wohi thee muhabbat!!

Tmhain maaloom hai meray ghar kay darwazay muqaffal hain paray
Jahan ikk arsay hawa chalti thee, jahan bastii thee chahat!!

Ab tou yun kharay hain shahrahon pay, kay faqeer ka sa gumaan hota hai
Jiss rastay say khusboo aati thee, tere gul-e-rafaqat!!

Aur phir yun hoa kay raat ki parchai gahri say gahri hoti chali ***
Aur hum dobtay chalay gay, madham saanson say taraf, tere rughbat!!

— The End —