Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
JAMIL HUSSAIN Nov 2016
Khanjar Hain Teri Aankhein
Talwaar Hain Teri Aankhein
Zinda Na Rehne Dengi
Ae Yaar Teri Aankhein

Your eyes are like a dagger
Your eyes are like a sword
They will not let me live
O' beloved eyes of yours

Ae Nargis-e-Mastaana
Allah Tujhe Rakhe
Rehti Hain Tasavvur Mein
Har Baar Teri Aankhein

O' possessor of drunk eyes
God keep you in His preserve
Enduring within my imaginations
O’ forever are eyes of yours

Yeh Bolti Aankhein
Bhi Afsaane Sunaati Hain
Rakhti Hain Zuban Jaise
Ae Yar Teri Aankhein

These talkative eyes
Speak of many tales
As if, they have a voice of their own
O' beloved eyes of yours

Humne Teri Aankoon Mein
Allah Ko Dekha Hai
Iss Par Teri Aankein
Uss Par Teri Aankein

Within your eyes
I have seen the Lord
In every direction
O’ are eyes of yours

Chehre Pe To Ghussa Hai
Aankhoon Mein Muhabbat Hai
Karti Hain Mere Dilbar
Iqraar Teri Aankhein*

On the face anger is exposed
But love is within the eyes of yours
Revealing O’ sweetheart
Unity, are eyes of yours

— Translated by Jamil Hussain, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Sk Abdul Aziz Aug 2022
Tu chali gayi thi bina kuch kahay
Mera dil ek veeran reygistaan ** gaya tha
Andhera hi roshni lagta tha
Tanhayi kay siwa kuch nahi tha
Ab itnay arso baad tu waapis aayi hai
Par tu abhi bhi mujhsay kuch bolti nahi  
Ekbaar mujhsay kuch keh toh sahi
Meray kaan taras gayay teri awaaz suun nay ko
Nafrat ki nazar se hi sahi
Par ekbaar mujhay dekho toh sahi
Meri aankhen taras gayi hai
Teri aankhon say milnay ko...
(Urdu and Hindi)

English translation

You had left without saying anything
My heart had become an empty desert
The darkness used to feel like light
There was nothing except loneliness
Now you've come back after ages
And yet you still don't talk to me
Please just talk to me once
My ears are yearning to hear your voice
Even it's a look of hatred
But please look at me once
My eyes are yearning to meet your eyes...
Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai  
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai  

Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon  
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon  

Tum chalti ** to hawa gungunane lagti hai  
Tum bolti ** to khamoshi bhi jagti hai  

Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye  
Har lamha teri qurbat ki dua kiye  

Magar tum door **, yeh faasle kyun hain?  
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?  

Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein  
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein

— The End —