Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ayush Gangwar Nov 2018
Kuch gine chune se saal hai,

Jo hai yahi haal hai…

Thode rishtey hai jyaada waade hai,

Kuch pure hai kuch aadhe hai…

Chaar dost hai aneek iraade hai,

Jindagi haar jeet se aage hai…

Jo baate adhoori hai,

Adhoori hi sahi…

Dosto muskurate raho jindagi itni bhi buri nahi…
Pratyush Jul 2019
Mai  jee raha tha adhoora aaj tak,
Chahiye the saath tera mujhe har waqt,
Maangta tha tujhe paane ke hazaro mannat,
Iss baar Khuda ne sun li thi meri yeh ibadat ,
Aaj hai mere paas ek behen, joh sune meri har baat,
Ek behen, joh jhele mere bachpane ko har raat,
Dil se keh raha hoon, meri behen meh kuch toh alag hai baat,
Maa baap ne sabh kuch diya, par kuch cheez thi adhoori,
Aaj tum aagayi **, aur voh cheez ** gayi hai poori,
Meri pyaari behen, tum ** itni nek,
Mai fakr se keh sakta hoon, tum ** laakhon meh ek, Laakhon meh ek....


Pratyush.
Shivpriya Oct 2021
Banjaara dil....

Ye adhoori si tadpan
poori karaade maa..

Raahaten tadpaayengi...
Bina luft uthaye ye teri kamii
poori karengi...

Tumhari aankhon ki chhaao
mere dil ko chhuti hai,
ek pyaari si kiran
tumhari muskaan jese
tehalti hai...

In dil dil ki baaton mein,
meri dhadkan se
mujhe sun lo maa..

In aansuon mein
teri chhavi dikhade maa..

Rote rehene wala dil,
samaayi hui yaadon se
tumhe pukaarta hai...

Inhe tumhare pyaar bhare
naino ka deedar karaade maa...
©️shivpoetesspriya

— The End —