Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2017
Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Log sirf unse dosti karte,
Jinke dilo me sirf mohabbat ke raag hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Sirf unse hi pyaar hota,
Jinke dilo ke liye wo khaas hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Pet sirf unka bharta,
Jo sach me us roti ke mohtaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To Na padti zarurat en hothon ki,
Kyoki sirf dilon se hi baat hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Har ghar mandir ban jata,
Aur Maat-pita us mandir ke bhagwan hote,

Kash! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
To na koi dharm hota aur na koi mazahab ,
Hum sab ek hote aur sabhi se pyar hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Na milta phir kisi ko bhi dard bhare pal,
Na kavi hote aur nahi sayari bhare andaaz hote,

Kash ! Ye dil bhi benakab hote,
To sayad na dhokhe hote aur nahi fasad hote,
Kaun puchhta en banawati chehare ko,
Tab to **** se nahi sirf ru'h se pyaar hote,
Sirf ru'h se pyaar hote...
JAMIL HUSSAIN Nov 2017
Meri Zeest Pur Mussarat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Koi Behtarin Surat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Upon my existence, happiness
Never was, will not nor ever be

One perfect image
Never was, will not nor ever be

Mujhe Husn Ne Sataya
Mujhe Ishq Ne Mitaya
Kisi Aur Ki Ye Halat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Mein Yeh Jaante Huay Bhi
Teri Anjuman Mein Aaya
Ke Tujhe Meri Zarurat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Beauty has made me suffer
Love has caused me to fade
This state of any other
Never was, will not nor ever be

Knowing this
I came to your gathering
That for you, my need
Never was, will not nor ever be

Jo Gila Kiya Hai Tumse*
Jo Samaj Ke Tumko Apna
Mujhe Gair Se Shikayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Ye Karam Hai Doston Ka
Jo Woh Keh Rahe Hai Sab Se
Ke Naseer Par Inaayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Those sorrows shared with you
Were with a belief that you are a part of me
Complaint to a stranger
Never was, will not nor ever be

This grace is from friends, who say to all
That upon *Naseer, favour
Never was, will not nor ever be

✒ Translated by ℐamil Hussain , *Poet, Peer Naseer Uddin Naseer, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Neeraj katta Jan 2019
Save the birds save your life and save the future

Save ka meaning hai sambhal kar rakhna ya fir bacha kar rakkho.
zindgi kimti hai hamari kya or parindo ki kya

Patango jab door se juda hoti hai to patango ko sambhalne koi na koi aa hi jata hai.
Insaan ladkhadae to use bhi sahare ki zarurat padti hai.
lekin ye janvar chah kar bhi kisi apne ya paraye ki madad nahi kar pata tab bhagwan ne insaan banae ke chalo ab inki dekh rekh insaan karega
Ek waqt tha jab inaan ke pass panchi aaya karte the.

Lekin ab ham inse itne dur ** *** ke inki aankho me dikhai dene laga.
Koi parinda insaan ke karib ane se katrata hai.
Aisa kyu jante **.
Kyu ki hame sirf apni tyohaar apni khushiya pyari hai.
Ham selfish ** ***.
Lekin ek baat or kahu to selfish me bhi self ka jhuta mukhota chadhaya hai hamne use utharne ki zarurat hai.
To plz self se nikalo self respect kamao.
Nk. Happy utrayan.
sai blas u all Sairam
Abhishek kumar Oct 2019
Kya zarurat thi batane ki tumhe ishq hua hai
Aur vo main nhi jiske sath tumhara naam juda hai

What was the need to tell
That you are in love
And it's not me
With whom you are getting along

— The End —