Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nirvana Nov 2015
woh zindagi bhi kya zindagi hogi
jisme zindagi hi naa **
koi gam nhi
aur koi shikva bhi naa **

Teri yaad bhi naa **
naa tera koi zikra **

woh zindagi bhi kya zindagi hogi
jaha koi alfaaz hi naa **
naa tujhe paane ki koi chaah
aur naa hi tujhe khone ka koi dard **

woh zindagi bhi kya zindagi hogi
jaha mai naa rahu aur tu bhi naa **
naa koi dikhavti hasi
aur koi aasu bhi naa **

woh zindagi bhi kya zindagi hogi
jaha seeney ki dhadkan sirf dhadke
aur dimaag sirf apna kaam kare
koi khwaahish hi naa **
koi aarzoo bhi naa **
yeh saasein toh chale
bas koi zindagi hi naa **

woh zindagi bhi kya zindagi hogi...
woh zindagi bhi kya zindagi hogi...
jaha main naa rahu aur tum bhi naa **
yeh **** toh rahe
par koi aatma naa **
yeh saasein toh chale
bas koi zindagi hi naa **

woh zindagi bhi kya zindagi hogi...
jaha main naa rahu aur tum bhi naa **...!
Mystic904 Oct 2017
Dil em tang shuda azi dunya awlay che kunum
Purson maikunum, ini aale now ra che kunum

Naona ika thur nako da chaye janum
Aftiden da chaah, maigin awlay che kunem
_______

Heart's feeling full of this life, what to do?
Asking hence, with the newbies, what to do?

Dip not fully the self, hey dear you shouldn't!
Drowing in the well de despair, crying what to do?

c. Teeri
Àŧùl Nov 2016
Unlike my life before the accident,
I now have short-term amnesia,
But you are stuck here permanently.

Tujhe bhoolna to chaah bhi nahin sakta,
Kuch aise bas gayi hai dil-o-dimaag mein,
Fark nahin padta tujhe kuch, oh zaalima.
HP Poem #1278
©Atul Kaushal
Ain Sep 2020
Shikwa to bas ek bahana tha...
Tujhe mera dil hi jalana tha...
Kashish ranjish yun banti gayi...
Kehne ko to ek fasana tha. ...

Pal Pal tujh par hi lutana tha
Meri zeest se yeh hi karana tha
Meri rooh par chaya hua tha jo
Saanson ka wohi tarana tha

Teri chaah ko apna banana tha
Meri koshish ka woh nishana tha
Teri zid ka zarb magar mujh par
Jo pada to bas qatilana tha...

Nibha lo rasm e kafan ki ab
Anjaam e wafa yun sikhana tha....
Bejaan sa **** yun pada hai ab.....
Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....

— The End —