Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Ye hawayen kis or le jayengi mujhe,
Kab tak tere ishq me tadpayegi mujhe,
Na koi manzil na koi thikana raha mera ab,
etna dard dekar, Kab aur kis mor pe tumse milayegi mujhe,


Rukh tere pyar ka begana ** gya,
nahi bhul sakta tujhe main kabhi bhi,
Kyoki Tujhpar mera dil bhi deewana ** gya,
Teri yaadon ne mujhe etna dard diya ki,
Ab mere har lavj shayarana ** gya,


Nahi dekh sakta main tera ye udas chehra
Kyoki tumhari khushi hi meri muskan,
Lag jaye tujhe ye meri sari umar
Kyoki tum hi mere sapne aur tum hi mera jahan,
Kyon ruth gya ye pal mujhse,
Rone laga ye dil bhi jabse pyar hua hai tumse,
Shrivastva MK May 2015
Tere pyar ne mujhe pagal bna diya ,
Tujhme khoye hain hum es kadar ki,
apna nam pata bhi bhula diya,
Jawane Se chhupa ke ki tujhse mohabbat ,
Par tune mujhe jawane se hi begana bna diya,
Tere pyar ne mujhe pagal bna diya....


Tere intezar me har pal ji raha hu ghut ghut
ke,
kaha chali gayi ** sanam tum mujhse ruth ke,
ab to jine ka sahara hain bus teri ye yadein,
Soch kar biti baton ko nam ** jati hai meri ye
aankhen,
Teri wafawon ne mera sab kuchh jala diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya. ..


chalti raho me tujhe dhundh raha hoon,
chand taro se tera pta puchh raha hoon,
tune mere dil me ek jagah bna liya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya....


mat dena dhokha tum mujhe pyar me
ai sanam nahi to tut jaunga,
chhod tumhe mai es duniya se chala jaunga,
laut ke phir mai kabhi na aaunga,
tere esk me maine teri har kamiyo ko bhula
diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya. ..


yaadon ko teri  Manish  likh raha apni kalam se
es tarah ki,
teri nafrat ko bhi usne amrit bna diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya,
tere pyar ne mujhe pagal bna diya....
Ain Sep 2020
"Mohabbat" lafz hi aisa hai
Aghaaz hurf e meem iska..
Aur Tey se khatm hota hai. ...
Gar maiñ jo meem hoti ***...
To tum phir ta se hote **.....
Mohabbat lafz hi aisa hai. ...
Shuru jab maiñ se hota hai
To phir tum par hi rukta hai
Humari is mohabbat mein
Main thi hi kab tum hi tum the...
Parasti khud ki tum ne ki
Meri awaaz suni kab thi...
To phir kaisi mohabbat thi
To phir kaisa fasana tha
Yeh ishq "hum" se begana tha
Ise to Mar hi jaana tha
Ise to Mar hi jaana tha.....
Ayush Gangwar Sep 2018
Kabhi apna kabhi begana samjha use ,
Dil se dur hone ke baad mai samjha use ..
Jab pass thi tabh kadr nhi thi ,
Abh dur hai toh har jagh vahi hai …
Yeh dil ka dard hai ya chere ki mayusi,
Pr abh toh hai bs lafzo pe khamoshi,
Zehn me hai ek aisi madhoshi.
Ki chahat vahi hai, vahi hai duniya,
Na jane kha hai dudh raha hu galiiyan
Abh toh bs intzaar hi rasta hai ,
Kyuki Zindagi me mera sirf tujhi se vasta hai …
Sirf tujhi se vasta hai...
After break-up,
One in hindi on the occasion of HINDI DIWAS.
Shabnam Jan 2020
Is dil ka to bus itna hi fasana hai..
Jisne apna mana wahi apna hai
Baki sub begana hai.
Story of the heart..
Is only so much..
That the one who knows you as their own..
Is your own.
Others are nothing but strangers.

— The End —