Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aaj Krishna khelat hori
Aaj krisna!
Dekho gopikaon ki chaal
Phenkat nandlal
Pe gulaal!
Gori radhika ke gaal
Aur balkrishna ka kapaal
Donon hi to range Hain
Laal prem ka gulaal
Aaja balika
Khelein hum daar daar pe
Phuloon ki bahaar
Rang sabke dwaar
Aanand ki bauchhar!
Aaj bajti hai
Rangon ki malhar
Are Holi hai
Mere dwaar!
pnam Feb 2021
I am sending you a picture of mine
Wish I could color it in your new glow?
Keep me in beautiful divine eyes of thine
How else will I bear few days apart so slow?



Hindi -Translation

Aapko aaj ki ek tasveer bhej raha hoon
Kash mein usse aapke naye rangon mein rangoon?
Aapki haseen nigahon mein sada deedar rahoon
Kuch aur dinon ka yeh intezhar kaise sahoon?
Ain Sep 2020
Ek Ehsas woh bhi hai
Aur ek Ehsas tu bhi hai
Woh todta hi chala ja raha hai
Tu jodta hi chala ja raha hai

(A feeling was that - which was him...
A feeling is that - which is you...
He kept on breaking
You kept on mending)

Woh kal ki meethi khushboo liye
Mere wujood ko tilmila raha hai
Tu aaj ke haseen waade ke saath
Kadam se Kadam badha raha hai

(He was using the fragrance of the sweet past
And making my existence shatter
You are here with me with a promise of today
Moving ahead with me walking hand in hand)


Woh khud parast apni marzi ke
Zakhm dhaaye ja raha hai
Tu hamdili se un zakhmon par
Pyar ka malham laga raha hai

(That self worshipper in his own will
Went on giving me wounds
You have only compassion to give
And are healing my painful wounds with your undying love)

Woh apne lafz zubaan pe meri
Rakh kar chalna chah raha hai
Tu honthon ki chuppi par meri
Man hi man muskaa raha hai

(He placed his words on my tongue
And made me say what he wanted to hear
You are happy with the silent curving of my lips
And your heart is contented with only my happiness)

Woh beete dinon ke safhon ko
Bhooli kitaab se chura raha hai
Tu dil pe gade hue lafzon ko
Rahat e jaam pila raha hai

(I can’t translate this very well...
He was stealing the pages of days gone by
From a book which was long forgotten
{And trying to make an impact by using matters which pained in the past}
You are nurturing the words of my heart
With nourishment of contentment and everlasting happiness)

Woh apne "ain" ke aaine mein
Tasweer purani dikha raha hai
Tu haath mera haathon mein liye
Naye rangon se Saja Raha hai. ..

(He showed in the mirror of his eyes a picture faded and eroded
You are taking my hand in yours and painting a picture full of beautiful pictures of life
{showing me the beautiful side of life})

Ek Ehsas woh bhi hai. ...
Aur Ek Ehsas tu bhi hai. ....

(Afeeling was that - which was him...
A feeling is that - which is you)
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Jo kal mere sath sahmati ke
Rangon ke kalaap sang hansi baant rahe the

Wo hi aaj hansi ka mohra
mujhe bana rahe the

Mujhe apni batane ki sudh kaha
Hansi mujhe aap mein aa rahi
Duniya ke iss
Jane anjane nasheeley baagaan ke beech
astitva jiska khud hi dhuaan hai

Kal gar jo mujhe rota hua tumne dekh liya
Toh mat puchhna matlab uss nazare ka
Wo nazara, jo meri ruh ko sula khud
Ek naatak dikha raha hoga
Iss badan ka.
Ain Sep 2020
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai
Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai

Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai
Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai

pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai
Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai

Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai
Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai...

Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai
Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...
Janid Kashmiri Nov 2024
Tu
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,  
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.

Har saans mein jo bas gaya hai khushbu banke,  
Us mehka hua jahan mein bas tu hi tu hai.

Mere labon pe tera zikr sada hai,  
Mere har qissa-e-gham mein bas tu hi tu hai.

Chaand ke saath jo guftagu karun raaton mein,  
Wahan bhi mere lafzon mein bas tu hi tu hai.

Jahan nazar uthaoon, tera chehra dikhta hai,  
Har manzar ke rangon mein bas tu hi tu hai.

Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,  
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.

— The End —