Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2017
Aapko khuda ne badi fursat se banaya hai,
Etni pyari si muskan aapke hothon par sajaya hai,
Aapki ye sararati aankhon ne,
Har pal ko khushnuma aur khubsurat banaya hai,

Aapne Ghar ko mandir banaya hai,
Maat-Pita Ki sewa kar unhe bhagwan ka darja dilaya hai,
Aap najane kis mitti Ki bani **,
Khud aansoo bahake bhi sabhi ko hasaya hai,

Aap jaisa dost humne badi muskil se paya hai,
Aaj gum bhulakar phir se humne muskuraya hai,
Ruthi kalam ko manakar humne,
Aaj aapko apni kavita me sazaya hai,
Apni kavita me sajaya hai....
Shrivastva MK May 2015
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha sabhi ka samman kiya jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha sabhi logo me ekta hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha atithi ko bhagwan ka darja diya jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha aurato ko devi kaha jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha hindu muslim sikh esai sabhi bhai bhai hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha mata pita ko dharti ke bhagwan mana jata hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha sabhi log desh ke liye marte hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha mahatma gandhi, Bhagat singh, Subash chandra bose jaise beero ne janam liya tha,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha par sanchai aur ekta mishal hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha ki nadiya sudha jal deti hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jise log bharat ya india kahte hain...
      JAY HIND
               JAY BHARAT
Hindi
Shrivastva MK Jun 2015
Pyar ke deep jalayenge hum,
Mil kar sath sabhi
Desh ki takat ko badhayenge hum,
Es desh ki mitti hamari hain,
Yahi par janam liya hain
yahi par mar jayenge hum,
Pyar ke deep jalayenge hum,

Mita ke nafrat logon me
phir se bhaichara layenge hum,
Auraton ka samman karenge
Use vishav me devi ka darja dilayenge hum,
Mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum,

Banenge hum besaharon ka sahara
Apne aap ko itna takatwar banayenge hum,
Na koi bada na koi chhota hoga es desh me,
Ese hi puri duniya ko batayenge hum,
mil kar sath sabhi
pyar ke deep jalayenge hum...
INDIA
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Tazaad-e-Jazbaat Mein Ye Naazuk
Maqaam Aaya To Kya Karo Gay

In contradiction of these emotions if that
Delicate moment unfolded - then what would you do?


Main Ro Raha *** Tum Hans Rahe **
Main Muskaraya To Kya Karo Gay

I am weeping and yet you are jolly
But if I smiled - then what would you do?


Mujhe To Is Darja Vaqt-e-Rukhsat
Sukun Ki Talqeen Kar Rahe **

To me at this time of farewell
Instructions of tranquillity you are offering


Magar Kuch Apne Liye Bhi Socha
Main Yaad Aaya To Kya Karo Gay

But have you any thoughts for yourself?
If you recalled me - then what would you do?


Abhi To Tanqid ** Rahi Hai
Mere Mazaq-e-Junun Pe Lekin

For now there is criticism
On my state of madness but


Tumhari Zulfon Ki Barhami Ka
Sawaal Aaya To Kya Karo Gay

If scattering of your tresses is
Questioned - then what would you do?


Tumhare Jalvon Ki Roshni Mein
Nazar Ki Hairania Musallam

Within the splendour of your light
Is complete amazement of sight


Magar Kisi Ne Nazar Ke Badle
Jo Dil Aazmaya To Kya Karo Gay

Nevertheless if someone in return
Tested your heart - then what would you do?


Utar To Sakte ** Paar Lekin
Ma Aal Par Bhi Nigah Dalo

You can disembark across but
Take a glance at the result too


Khuda Na Karda Sukun-e-Sahil
Na Raas Aaya To Kya Karo Gay

God has not made a peaceful shore
If nothing suitable appears - then what would you do?


Kuch Apne Dil Par Bhi Zakham Khao
Mere Lahoo Ki Bahar Kab Tak

Take some wounds on your heart also
Season of my blood until when?


Mujhe Sahara Banane Vaalo
Main Larkharaya To Kya Karo Gay

Those in need of my support
If I show hostility - then what would you do?


Abhi To Daman Chura Rahe **
Bigar Ke Qabil Se Ja Rahe **

For now you are leaving my hand
And you are parting away from Qabil


Magar Kabhi Jo Dharkano Mein
Sharik Paya To Kya Karo Gay*

Yet sooner or later within your heartbeats
If I became a associated - then what would you do?


— Translated by Jamil Hussain, Poet Qabil Ajmeri, Sung by Sabri Brothers

— The End —