Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Simran pawar Aug 2020
Aaj phir es kadar ishq m,
Apni haade bhul gayi,
Tu aya meri Zindagi me,
M khud ko jaan na hi bhul gayi.

Tere khayalo m ,
Khud ko dekhna meri ek khawish ban gayi,
Teri gaaliyo me,
Khud ko kuch es kadar bhul gayi.
Megha Thakur Aug 2020
मेरे पास छोड़ जाओ,
अपनी खुशबू, अपनी बाते।
उन्हें सम्भाल कर रखूंगी मैं,
चाहे दिन हो या हो रातें।
- मेघा ठाकुर
Simran pawar Aug 2020
Aaj azadi ka din h,
Karo apni soch ko bhi aazad,
Agar beet jaye ye din bhi,
To raho apni nayi soch ke saath.
Simran pawar Jun 2020
Tere har jazbaato ki kadar h,
Intezaar me bitaani ye umaar h,
Teri awaaz sun ne ko beete ye pal h,
Har gham aur Khushi ki muje khabar h.

Par ye waqt mera nahi,
Jin yaado ko tum,
Mere saath saza na sako,
Sayad me es kabil nahi..
Simran pawar Jun 2020
Nazdeekiyo se mohbaat hua nahi karti,
Khamosh rhene se dilo ki dooriya mita nahi karti,
Tere saath gujra har pal yaad ane laga,
Jab bhi khoshish ki bhulane ki ,
Doori chhat ki saza ban gayi,
Uski yaad to jeene ki wjha ban gayi.
Simran pawar Jul 2020
Bewajha
Kisi raha pe ,
Ghum ** jau me to,
Fr dhund ne
Bhi mat ana..

Agar yaad aye mere alfazo ki,
Meri Kavita ki khushboo
Apne saath samjhna,

Na ** ke bhi
muskura dungi,
Es bheegi raat me ,
Zindagi ki Kahani se vakhif kara dungi.

Dhub te pao jab khudko,
Khud se ek sawal karna,
Aur bhul ke vo baat,
Aaage zindagi ke aur badalo se mulakat karna.
Simran pawar Aug 2020
Tumahri khubi bhi kitni alag h na ,
Jab bhi tumare baare m likhne jati hu,
To ye alfaz kam padh jate h.
Aur jab tumare saath hoti hu ,
To ye waqt kam padh jata h..
Megha Thakur Jun 2020
Subha se sham ** gyi,
Par tum na aye.

Tumhari yaad aa gyi,
Par tum na aye.

Na aye tum,
Aag ki lau bujhne tak.

Meri saanas tham gyi,
Par tum na aye.
-Megha Thakur
Megha Thakur Jun 2020
Kuch kam hi sahi,
Par is zindgi ne kuch diya to hai.

Kitne hi gehre the ghaw,
Par zindgi ne unhe siya to hai.

Beshak the wo dard bhare fasane,
Par is zindgi se humne kuch na kuch liya to hai.

Pal pal jod kar hi sahi,
Par is zindgi ko humne jiya to h.
-Megha Thakur
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Next page