Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka
Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka
Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia
Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia

Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne
Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne
Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi
Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi

Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai
Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai
Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi
Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi

Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada
Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada
Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi
Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi

Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala
Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala
Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha
Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha

Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai
Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
Copyright© Shashank K Dwivedi
Website :- www.skdisro.weebly.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
MOUMITA SARKAR Mar 2016
Friday
12:22 pm
6 Nov 2015

Agar suraj ki keerne..
Tapti dhup mujh pe de,
Toh jhor se degiye ga…
Kisi ko ye naah toh pata chalegi .. ki hum naraz ya gusse hai bahut!

Agar baarish ** toh..
** jaane digiye ga,
Kisi ko ye na pata chal paaye … ki hum roh rahen hai!

Agar pathte zhareee,
Toh zhar jaane digiye ga..
Kisi toh naa pata kar paaye..
Ki hum aandarse bekhaare huye patho jaise bikhaa rahen h!

Agar thadi ki mausam me thaand de,
Toh bahut khub se digiye ga..
Kisi ko ye naah pata chale..
Ki hum saihum ya daar rahen h..
Andaar aandar se!

Ye mausam hai..
kuch mere zindagi ki tarah…
or humare zindagi ki tarah..
jo hum bayaan toh karte h..
par bahut kaam…
kyuki hume samaj ne wala koi nahi hota!

Ye jab hoti hai.. ya aati hai, jhoor se caati…
Or agar naah aate toh, na hi sahi,..
Par jab aati h…
toh puri zinadgi badal kar rakh deti hai.. !
trying to enjoying the life better :) :)
Shrivastva MK Mar 2018
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,

Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,

Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,

Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,

Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,

Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,

Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye  riwaz banaya ,

Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,

Waqt ka kaisa hai ye dastoor 
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,

Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya, 

Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,

Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,

Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,

Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,

Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........

Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
For Sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
Shalini Pandey Apr 2018
Mausam bindaas hai
Fir bhi dil udaas hai
Sab kehte hain boondein khushiyaan lehraati hain..
Fir Kyun mujhko ye sisakte aanso lagte hain

Na jaane kaise ye reet hai..?
Shrishti ki khushi..meghon ke rone mein..
Dharti ka adhikaar ya aasmaan ka badappan..
Jaane kaun sahi hai kis roop mein..?

Adhbhut anokha..
Be-missal pyaar..
Na dharti per ** sookha..
na aasmaan ** kaala..!!!
Love between Earth and Sky
Dil ki kalam se kuch likhte hain aahat,
Bn chuke hain aap hamari aadat.

Aapki pyaari si muskurahat dekh jo sukoon milta,
Hamara masoom chehra bhi nanhi kali jaise khilta.

Saanso mein chupi har hayat hai aapki,
Jab aap hain saath sawar jayegi zindagi.

Do pal bhi nahi reh sakte aapke bin,
Raatein kat jaati taare gin gin.

Naam aapka pehchaan hai hamari,
Har dadhkan ki awaaz hai tumhari.

Hothon par muskurahat hai aapke naam ki,
Aapke khayalon mein uljhe raat se subah ** jaati.

Qubool ** gayi dua hamari,
Mil jo gayi humein chahat tumhari.

Nahi hai koi Chah ab hamari,
Jabse judi humse dadhkane tumhari.

Jazbaaton ka sagar hai gehra,
Dil mein hai humsafar ka basera.

Mohabbat ka rang aisa chhadhaya hai tumne,
Feeke lagne lage har rang iske saamne.

Jaane kis qadar imtehaan leta hai khuda,
Bs gujarish hai usse karna na kabhi juda.

Jab tak dadhkane chal rahi hain unki,
Zindagi ki har saanse hai sanam sir aapki.

Jahan mera humsafar **,
De dena jagah humko.

Har kadam par saath chalna piya mere,
Jeene ka shauk nahi ek pal bhi bin tere.

Har pal sirf aapko yaad hain karte,
Jaane kab mitange ye meelon ke faasle.

Saath nibhayenge har mod par aapka,
Tumhare andar paya humne khuda apna.

Shiddat se itna chahte hai tumhe,
Labzo mein baya nahi hum kar skte.

Aisa koi labz nahi jo is sacchi mohabbat ko sanjo le,
Mohabbat se kai upar hai ye mohabbat jisko koi naam na de .
Aap
Ek naadan parinde ka haath aapne thaama,
Apne dil mein diya sabse khubsurat thikana.

Phool ki mehak ko jaata nahi churaya.
Suraj ki kirne ko jaata nahi chupaya.

Khuda ne itna sikhaya hai mujhe,
Aapke liye dua karu khud se pehle.

Mere dil ka dard kisne hai dekha,
Ye dost muskaan ke peeche ki kahani padh leta.

Vaada karte hain ye rishta dil se nibhayenge,
Aapki shiddat mein hadd se guzar jayenge.

Dil se maangi thi dua rabb se,
Qubool hui ibadat mulakaat hui jab aapse.

Duniya ki daulat hey ishwar nahi chahiye mujhe,
Sabse anmol tohfa mila jo jud gaye sanjog unse.

Dadhkano ki dadhakti har awaaz hai sirf unki,
Pyaar mein tabdil ** gayi hamari dosti.

Chand sa hai mukhda,
Mere jigar ka tukda.

Bin tere jiyenge ab hum na ek pal,
Tujhse juda hai aane wala har kal.

Bhut sataya humne aapko aapka jawab dene mein,
Hanji hum bhi chahte hain aapko aapki shiddat se.

Jud gye dil se dil tak,
Mujh par sirf hai aapka hakk.

Rooh se rooh ka rishta hai hamara,
Tujh bin ek pal nahi humein gavara.

Chadha diya hum par rang apna,
Poora hua ek pyaara sa sapna.

Aasman mein jab tak sitaro ka hai basera,
Ek dusre ka hain hum sahara.

Meri zindagi ke saaton janam hai aapke naam,
Aapke hi rahenge hum bheja khuda ko paigaam.

Pyaar mera rago mein lahu ban daude,
Apna sab kuch tum par qurbaan kar de.

Tum saath ** tou zindagi mein hai bahaar,
Tere bina zindagi bhi hai meri bekaar.

Khuda kasam har saans sirf tumhari,
Tumse hi judi hai zindagi hamari.

Rabb jaane kya lekh likhe unhone,
Milaya hai jab aage bhi whi sambhale.

Mai teri ** gayi haa mahiya,
Har kadam saath hain hum saathiya.

Rabb se pehle tumko yaad kiya,
Apna dil tumhe de diya .

Sacchi mohabbat tumse kar baithe,
Pta nahi chala kab hum aapke ** gye.

Zindagi se judi hai hayat aapki,
Aapka pyaar jaise maa ki thapki.

Har mod par saath hai aapke,
Chahe waqt kitni karwat badal le.

Aapki pagli sirf aapki hai yaara,
Tum bin kaun hai hamara.

Intezaar hai besabri se humein us din ka,
Jis din aapke naam se judega naam hamara.

Aapka har dukh hamara hai sajna,
Hamari har khushi par naam hai aapka.

Tumko bhi hai khabar,
Aye mere humsafar.

Maut ki gaud mein sone ke baad bhi,
Alwida nahi hai kehna humein kabhi.

Gujarish hai khuda se ,
Kabhi juda na karna unse.

Ek sang hi mitti ki chadar odh so jayenge,
Sacchi mohabbat dil se nibhayenge.

Mohabbat se kai upar hai mohaabat aapse,
Aisa koi shabd nahi jo ise piro ske.

Chaha tha humesha se humsafar mahadev jaisa,
Qubool hui dua hamari jo mila mahiya aisa.

Dilon ki awaaz mein hai itna asar,
Yaad kare joo ** jaati hai khabar.

Ibadat karne ka wo khubsurat lamha mile,
Tou hum apne humsafar  ke saamne sajda kar le.
Dev Singh Apr 2017
Originally written on 26/05/2005.

Hum khud ko ek raat, phir yuhi ek baar, bhool gaye.
Aap nahin to aap ka yaad dilaana hi phir bhool gaye.

Ab to yeh bedaad-e-yaad waqt ke saath sehte sehte,
Khud se daad-e-dard ki umeed-e-intizaar bhool gaye.

Kabhi dhoond te the hum bhi ma'anee apni wajood me,
Lekin raat hui to wajood ka ma'ana hi ab bhool gaye.

Chale the hum na jaane kaha apni ehatimaam-e-yaad ko.
Is ehsaas ne humme roka ke hum gham-e-gharaz bhool gaye.

Humare baat karne par karte hain humare jeene ki tasali.
Koi toh samjhaye ke jeete jeete hum jeena bhool gaye.

------------------------------------

One night, once again, I’ve forgotten myself.
You’re not here so I’ve even forgotten your reminders.

Now after putting up with this injustice of memory, over time
I’ve forgotten to wait for the hope of a justice of sorrow, from myself.

Once I used to search for meanings within my identity
But now when night falls, I’ve forgotten the very meaning of my identity.

I don’t know where I was going to sort out my memories,
But this realisation stopped me that I’ve forgotten the very purpose of my sorrow.

By talking about me, they assure themselves that I am alive.
Somebody explain to them that even though I’m alive, I’ve forgotten how to live.
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Shrivastva MK Apr 2018
Waqt bhi kitna khubhsurat hai ,
Aate jaate logon ki duniya ujaad deta hai .
Kehte hain waqt saare ghav bhar deta hai ,
Asliyat tou ye hai waqt dard ke saath jeena sikha deta hai .

Do pal ki hai ye zindagani ,
Na do kisi ki ankhiyon mein paani.
Jo lamhein hain chaliye muskurakar bita le,
Jaane kal zindagi kaun se mod par lakar khada kar de .

Kya pta kal saanse hi tham gayi ** ,
Kitna bhi pakad lo .
Fisalta jaroor hai ,
Ye waqt ki fitrat hai yaaro badalta jaroor hai.

Band ghadi bhi din mein do baar sahi samay btati hai,
Man se na haarna aye dost meri tumse gujarish hai .
Maidan se haara dubara jeet sakta hai ,
Man ke haare haar hai man ke jeete jeet hai .

Waqt kahega har baar main lautkar na aaunga,
Khuda Jaane wo hasayega ya rulayega.
Waqt har chiz ki parakh sikha hai jaata ,
Kisi ke khatir ek pal bhi nahi hai theharta.

Waqt ne kisi ko jina sikhaya hai,
Waqt ne sach ka aaina dikhaya hai,
Waqt ka azuba dekho yaaro,
Kisi ko raja tou kisi ko rank banaya hai,

Waqt ne hamara ahamiyat btaya hai,
Waqt ne hume kaanto pr chlna sikhaya hai,
Jisne bhi waqt ko gale lagaya hai,
Use waqt ne us aasmaa jaisi uchai pr pahuchaya hai,

Kitni azeeb baat hai,
Waqt se din waqt se raat hai,
Aaj shaam hai tou kal savera bhi hoga,
Success bhi milegi aur danka bhi bajega,

Waqt ki ahamiyat ko jo log bhul jate hai,
Ant me sirf whi log aansoo bahate hai,
Rote hua es duniya me aate hai,
Vyarth jivan jikar rote hue chale jate hai....✍


Collaboration  by Manish Shrivastva  and Sonia Paruthi
Tariq Khan  Dec 2012
Pehchan
Tariq Khan Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Sidanj Aug 2018
Ek muskaan sa ek saath sa
Bhai hai wo is naadan ka

Har pal har ek pal jisne haathon ko thame rakha
Durr hokar bhi jisne zindagi bhar ka saath rakha
Naa chahte hue bhi jisne
Humari har ek jarurat ka khayal rakha..

Wahi toh h ek muskan sa ek armaan sa
Pyaara bhai h wo is nadaan ka

Baaton ki gudgudi se hasana
Ruthne par haskar manana
Pal pal ki khushi se
Naa jaane kitne ka din banana

Haa muskan sa, nahe khawaab sa
Bhai h wo is naadan ka

Is naadan ne bhi socha na tha ki aisa bhi hota hai
Koi itna durr hokar bhi itni saralta se apnata hai
Chand baaton se
Kisi anjaan ko apna bananta hai

Ek muskan sa, hamesha rahe muskan sa
pyaara pyaara bhai h wo is naadan ka.....
a very very happy birthday bhai..❤❤❤ jo sab ko hasaye usse kabhi rone ki wajah nahi milti.. may you reach the highest peak of success dil se chahte h ki aisa **.. aapko sab kuch mile..  

n always smile.... choti ki taraf se bas kavita hi mil sakti hai kyunki or kuch de naa paye par buri lage toh bhi rakh hi lena..

stay blessed .
Ankit Dubey May 2019
Chand ko dekhkar yaad tumhari aati hai,
Chand ki chandni b sath rahkar door hojati hai,
Chand ne auron ko to khush rakhti hai chandni apne ujale se,
Par chand se poocho jara k vo usk paas kab aati hai ?,
Raat bhar jagkar jo duniya ko roshan karta hai,
Andar hi andar vo bhi judai ki aag me jalta hai,
** kar rahe ae mere khushiyon k maalik tum bhi kuch aisa,
Mai dhoondhta rahta hu tumko paas apne,
Aur tum kahiin door nikal jate **,
Fir bhi na jane kyun chand ko dekhkar tum yaad aate **,
Kyun khataye meri tumhe har baar dikh jati hai,
Kabhi paas aakar to dekho mai kitna gunahgaar hu,
Tum to ruswa ** jate ** bewajah mujhse,
Aur na ki hui khata ki saja mujhe de jate **,
Fir bhi na jane kyun chand ko dekhkar tum yaad aate **,
Choot jate hai jo judai ki maar se mai vo dil ka saudagar nahi,
Tum to bas kuch pal bitakar sath me fir se meri duniya ko banjar bana jate **,
Kabhi tum bhi mujhe aaajma kar dekho kareeb se,
Kyun door rahkar mujhe doori ka ehsaas kara jate **,
** tum hi sirf meri jindagi me jise chaha dil ki har khwahish se,
Aur tum ** k gairon ko mera batakar rooth jate **,
Fir bhi na jane kyun chand ko dekhkar tum yaad aate **,
Mai nai hu vo jise duniya dil parast kahti hai,
Mai to deewana hu tumhari har baat ka,
Fir bhi na jane ku roothkar tapadne k liye chod jate **,
Ban jaun ttera har pal ka sathi,
Kyun aisi koi saja nahi,
Jindagi bhar rone k liye,
Har baar kyun tanha kar k chale jate **,
Fir bhi na jane kyun chand ko dekhkar tum yaad aate **,
Kyun bhool jate ** k mai bhi hu tumhari raah me,
Khada hi aankhen band kark tumhe paane ki chah me,
Akhir aisa bhi kya k mere rone  se bhi tum rooth jate **,
Mujhe apna banakar pal bhar me paraya ban jate **,
Fir bhi na jaane ku chaand ko dekhkar yum yaad aate **....

i love you alot. N you are my only wish, need n reason. Trust me i love you n only you. Please my sweet heart marry me.
I cant live widout you n our baby.

— The End —