Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2015
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka
Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka
Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia
Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia

Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne
Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne
Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi
Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi

Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai
Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai
Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi
Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi

Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada
Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada
Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi
Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi

Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala
Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala
Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha
Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha

Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai
Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
CopyrightΒ© Shashank K Dwivedi
Website :- www.skdisro.weebly.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
15.6k
   Aarushi Vijay
Please log in to view and add comments on poems