Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
VENUS62 Jun 2014
Rus wa na ** tum hamse, meri jaan
Murjha na jaye kahin dil ka ye gulistaan

Juda hai sabse andaaz ye hamara
Saason se  humney cheda hai
dil ka saaz ye tumhara

Khwahish hai tum mein; ** jaye hum fanaa
Karte hai tumse toh
hum muhabbat  bepannah

Mil bhi lo aake hamse is tarah
Noor mil jaaye
Jahaalat se jis tarah

Khuda Ko paane ka;  yeh hai raasta nirala
Muhabbat bhi  hai bas
kudrat ka hi toh karishma

Rus wa na ** tum hamse, meri jaan
Murjha na jaye kahi dil ka ye gulistan
Udit Vashishth Nov 2018
Wo afsaano ka banna yun hi tha.
Wo daastano ka bunna yun hi tha.
Yun hi tha wo intezaar ke lamhe ginna.
Aur shayad hamse pyaar karna bhi yun hi tha.

Wo dur rah kar bhi pass hone ka ehsaas hona yun hi tha.
Wo har raat aur har subah hamse baat karna yun hi tha.
Yun hi tha wo har naghme me doob jana.
Aur shayad un naghmo me ek dusre ko talaashna yun hi tha.

Wo alfaazon ka bayaan hone se pehle pura karna yun hi tha.
Wo har subah, shaam dhalne ka besabri se intezaar karna yun hi tha.
Yun hi tha wo has has kar baatein karna.
Aur shayad har raaz ko khulkar batana yun hi tha.

Kya tumhari awaz sunkar dil ka zor se dhadkna yun hi tha?
Kya armaano ka mehal banana yun hi tha?
Kya yun hi tha wo roothne ke baad wapis aa jaana?
Aur
Kya tumhare wapis aane ki ummed me jeena yun hi tha?
This is my first ever hindi poem...
I have never written a hindi poem before but sometimes you feel something that compels you to write in such a way.
Smiling Queen Aug 2019
Kyu?

Jab karte ** itni mohabbat hamse,
To phir tum chipate hi kyu **?
Jab tum mere bin ek pal bhi na reh pate **,
To phir mujhse dur jate hi kyu **?
Jab tumhara dil mujhe pana chahta hai,
To tum use satate hi kyu **?
Jab najare churani hi hai tumhe mujhse,
To phir mere samne aate hi kyu **?
Tum kehte the na ki mai tumhari nahi ** sakti,
Jab mai tumhari ** hi nhi sakti,
To phir mujhe tum itna yad aate hi kyu **?


~your smiling queen :)
If you love me so much,
Why the hell do you hide from me?
If you can't live without me,
Why the hell do you want to leave me?
Shabnam Aug 2020
Hamse pucho ke gazal mangti hai kitna lahoo..
Sub Sochte hain ye dhanda bade aaram ka hai.
Kiraye ka makan hai..
Koi zaatti ghar thoday hai..
Sabhi ka Lahoo hai shamil..
Kisi ke..............Hindustan thodai hai!
Late Rahat Indori sahab

— The End —