Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nov 2018
Wo afsaano ka banna yun hi tha.
Wo daastano ka bunna yun hi tha.
Yun hi tha wo intezaar ke lamhe ginna.
Aur shayad hamse pyaar karna bhi yun hi tha.

Wo dur rah kar bhi pass hone ka ehsaas hona yun hi tha.
Wo har raat aur har subah hamse baat karna yun hi tha.
Yun hi tha wo har naghme me doob jana.
Aur shayad un naghmo me ek dusre ko talaashna yun hi tha.

Wo alfaazon ka bayaan hone se pehle pura karna yun hi tha.
Wo har subah, shaam dhalne ka besabri se intezaar karna yun hi tha.
Yun hi tha wo has has kar baatein karna.
Aur shayad har raaz ko khulkar batana yun hi tha.

Kya tumhari awaz sunkar dil ka zor se dhadkna yun hi tha?
Kya armaano ka mehal banana yun hi tha?
Kya yun hi tha wo roothne ke baad wapis aa jaana?
Aur
Kya tumhare wapis aane ki ummed me jeena yun hi tha?
This is my first ever hindi poem...
I have never written a hindi poem before but sometimes you feel something that compels you to write in such a way.
Udit Vashishth
Written by
Udit Vashishth  24/M/New Delhi, India
(24/M/New Delhi, India)   
1.9k
 
Please log in to view and add comments on poems