Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
pnam Feb 2021
My love you taught me how to love
Feeling of love, that this heart showed
How many colors you spill, of love?
Reason for my love, you then asked?

Without you this life is so incomplete
Now when I realize how far away love was
Sheltering me in your heart such a treat
As beads of  love strung tenderly in gauze

At times  self-love seeks love from a stranger
At times a few moment with a loving heart is enough
At times to feel a heart dearer one has to live farther
In serendipity we met in love, leave me never in a huff

Think and despair not my cherished beloved
Must I say your love was so wondrous
I promise to be with you now and always beloved
You asked, I say all your concerns are needless

---

Hindi LanguageTranslation

Mere Humdum..

Pyaar aapne hume karna jo siklaya
Pyaar ka ehsas is dil ko jo diklaya
Kitne pyaar ke rang chalkathe hain aap?
Phir Pyaar ki vajah poochate hain aap?

Yeh zindagi to aapke bina adhuri thi
Ab maalum hua pyaar thak kitni doori thi
Aashiyana aapne dil mein basa kar hume diya hai
Pyaar ke har lamahe chun ke is dil ko piroya hai

Khud ko chaahne ke liye kabhi gairon ka pyaar chahiye
Dil ki nazdhikyon ke liye kabhi dooriyon ka ehsas chahiye
Kabhi chand lamhay kaafi hain aap jaise dil walon ke saath
Ittifaaq se milay ** meharbaan kabhi na chodna mera haath

    Bus Itna ab na sochiye mere jane-mehboob
    Dekhiye pyar kiya aapne bhi bahut khoob
    Zindagi aapke saath vada hai mere hum-safar
    Har sawalon ka jawab diya humnay aap rahe  be-fikar
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyon se koi fark nahi padhta
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai

-Dooriyon se koi fark nahi padhta hai
-Baat toh dilo ki nazdikiyon se hoti hai
-Dosti toh kuchh aap jaison se hai
-Varna mulakat toh jaane kitno se hoti hai
Teri talaash e nazar
Ghumsum si ek hasi
Chand ka mukhra
Dil e tanhaiyaan
Rooh ko mat tadpa o janiya
Dheere dheere se aa
Aur Naja Naja kanhi dur
Mere dil e dooriyon
Khud se khafa itna
Ki dard ko pi liya gulmohar ki tarah
Rang rang me pyaar ko dhoondta
Mein pagal deewana
Kabhi ish sadak kabhi os sadak
Jalti dhoop me chalta yeh mann...
Thandi kohre ki tamanaah liye...
Milne dobara tujhse, mein ek baat liye
Phirta chalta dil e dooriyon
Phasle itne ki...
Rang e shaam e shubah.. dhoondta mein
Aur ...
Tanha...
Wadiyaan
...
.

Fursat kanha
Sapno ki raah e aashiqui
Kidhar talaash karu
Apni adhuri rooh ko ?
Mayank Garg Jun 2020
-Dooriyan bahut hain magar itna samajh lo
-Ki pass rehkar hi koi nahi banta khaas

-Duriyan bahut hain magar itna samajh lo
-Ki paas rehkar hi koi nahi banta khaas
-Aur tum to iss kadar paas ** mere dil ke
-Ki mujhe nahi hota dooriyon ka ehsaas
Ruka waqt
Koi toh ** wajah
Phir bhi ek roop e rooh me
itna tanha
Ghumsum ghulta hua
anjaan raaste me
Dil e dooriyon
Marz e tanhaiyaan...

— The End —