Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Bleeding Doc Feb 2019
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai,
Labzo me jo baat keh naa saka
Geet me gungunane ko dil chahta hai |

Kaun kehta hai ki tujh se pyar karte hai log
Bas jarurte puri karte hai log |
Jab tak zinda hai sauhrate hai teri,
Mare **** ko bhi kahan ghar me rakhte hai log |

Na koi hai tera na tu hai kisika
Jo chahe tuje tu ban jaa usi ka
Khel matlab ka duniya ne khela sada hai
Tu bhi hissa usika me bhi hissa usi ka

Jala ke **** ko rakh baha de nadi me
Aisi duniya se chutkara dil chahta hai
Aaj phir se uthai kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |

Yun to chalti rahi jindagi na ruki,
Koi aata raha koi jata raha |
Kayi khel ke dil se mere khilone ki tarah
Dil ko apne har dum behlata raha |

Kisi ne chaha kisi ne toda muje,
Me phir bhi sada muskurata raha |
Kabhi roya kabhi sadme me beh gaya,
Dil ko har baar apne behlata raha |


Badi faramaush hai duniya samaj me gaya,
Fir bhi kisi ko chahne ko dil chahta hai
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |
Duniya mein hazaaro rishtey banao lekin ek rishta aisa banao ki jab hazaaro aapke khilaaf ** toh wo ek humesha aapke saath **….

# koi aisa ** jo bin maangey itna pyaar de…itna pyaar de ki toota hua dil fir se kahe mujhe marna nahi jeena hai.

# zindagi mein ek aise shakkhs ka hona jaroori hai jo kehne se pehle hi sab samjh jaye.

# ruthne ki adayein bhi kya gajab hain mere yaar ki… gale lagakar kehte jao baat nahi karni mujhe tumse.

# zindagi mein ek aise shakkhs ka hona jaroori hai jisko kuch bhi batane ke liye lafzon ki jaroorat na padhe.

# bharosa ek aise insaan par karo jo tumhari teen baate pehchaan sake..
1. Muskurahat ke peeche dard
2. Gusse ke peeche pyaar
3. Chup rehne ki wajah

# wo shakkhs sabse jyada aapko pyaar karta hai jo aapko rota dekh khud ro pada ** . Jo aapke liye rota ** na usey kabhi mat chhorna kyunki naseeb walon ko hi aise chahne wale milte hain.
THANK YOU DEAR JI FOR BEING ONE OF MY KIND AND ALWAYS BEING THERE FOR ME…I LOVE YOU
Abhishek kumar Oct 2019
Kya zarurat thi batane ki tumhe ishq hua hai
Aur vo main nhi jiske sath tumhara naam juda hai

What was the need to tell
That you are in love
And it's not me
With whom you are getting along
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Jo kal mere sath sahmati ke
Rangon ke kalaap sang hansi baant rahe the

Wo hi aaj hansi ka mohra
mujhe bana rahe the

Mujhe apni batane ki sudh kaha
Hansi mujhe aap mein aa rahi
Duniya ke iss
Jane anjane nasheeley baagaan ke beech
astitva jiska khud hi dhuaan hai

Kal gar jo mujhe rota hua tumne dekh liya
Toh mat puchhna matlab uss nazare ka
Wo nazara, jo meri ruh ko sula khud
Ek naatak dikha raha hoga
Iss badan ka.
Mayank Garg Jun 2020
-Voh hamare saath padhti thi
-Hum usse beintahaan mohabbat karte the

-Voh hamare saath padhti thi
-Hum usse beintahaan mohabbat karte the

-Par izhar karne ke baad dosti na khatam ** jaaye
-Isliye use batane se katrate the

— The End —