Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jul 2015
Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tere dil me rahna hai,
Na ruth jana kabhi mujhse,
Kyoki tera banke jina hai
Mujhe tera banke hi mar jana hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe tera aansoo banke bahna hai,
na bna sako mohabbat mujhe to
gam hi bna lo,
Kyoki tere dard me bhi
mujhe tere sath hi rahna hai,
Mujhe tere sath hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe teri muskurahat banke
tere labon pe rahna hai,
banke kajal teri aankhon ka
mujhe har waqt teri aankhon me hi rahna hai,
Teri aankhon me hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tera khwab banke rahna hai,
Jab gahari nind se band ** jaye ye palaken teri,
teri un mitthe khwabo me apne dil ki baat kahna hai,
mujhe apne dil ki baat hi kahna hai,
TRANSLATION OF POEM:-FIRST PHRASE
     I HAVE TO SAY SOMETHING...
I have to say something,
I have to live in your heart,
Plz don't to sulk with me
becoz i have to live
& i have to die with you,
Tere Paas Hone Se Kuchh Na Hua, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **! 

Tere Saath Hokar Bhi Hum Khush Na The, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **!

Teri Maujudgi Ka Ehsaas Kabhi Na Hua, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **!

Tune Kabhi Humse Pyaar Na Kiya, Tere Baad Shayad Kuchh Achchha **!
JAMIL HUSSAIN Apr 2022
tire siine meñ dam hai dil nahīñ hai
tirā dam garmi-e-mahfil nahīñ hai

Ambition rests within your chest but not a heart
Your wheedling, warmth of assembly is not nor its art

guzar jā aql se aage ki ye nuur
charāġh-e-rāh hai manzil nahīñ hai!

Go beyond paths of reason in quest of light
Lamp of the way it is but not a destination

ḳhirad ke paas ḳhabar ke sivā kuchh aur nahīñ
tirā ilaaj nazar ke sivā kuchh aur nahīñ

Intellect has news and nothing more
A divine glance is your cure and nothing more

har ik maqām se aage maqām hai terā
hayāt zauq-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ

Beyond all ranks is your prestige
Life is a delightful journey and nothing more

ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ hai agar to kyā hāsil
hayāt soz-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ

If veins have flowing blood, then what is the reward?
An existence with a burning heart and nothing more

jise kasād samajhte haiñ tājirān-e-farañg
vo shai mata-e-hunar ke sivā kuchh aur nahīñ

What traders of the West consider as synthetic?
These are entities of flawless craft and nothing more

urūs-e-lāla munāsib nahīñ hai mujh se hijāb
ki maiñ nasīm-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ

Bride like a radiant tulip, why modesty from me?
Morning breeze I am and nothing more

baḌā karīm hai 'iqbāl'-e-be-navā lekin
atā-e-shola sharar ke sivā kuchh aur nahīñ

Very gracious is voiceless Iqbal and yet
A gifted flame with sparks of fire and nothing more

✒ Translated by ℐamil Hussain
Words of Muhammad Iqbal

— The End —