Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Ey meri mehbooba
Teray baray may sochkar apnay baray may sochna jurm hai
Tujhay yaad rakhna mera ek jurm tha
Tujhay bhool jana mera doosra jurm tha
(Urdu & Hindi)

English Translation
O, my lover
To think about myself after thinking about you is a crime
To have remembered you was a crime
To have forgotten you was my second crime
Inspired from a song i had once heard.
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Unke Dar Pe Pahunchne To Paayein
Yeh Na Poocho Ke Hum Kya Kareinge
Sar Jhukana Agar Jurm Hoga
Ham Nigahon Se Sajda Kareinge

Once I reach the door
Spare me from asking what I will do
If blasphemous it is to prostrate my body
My gaze shall bow at the door


Baat Bhi Teri Rakhni Hai Saqi
Zarf Ko Bhi Na Ruswa Kareinge
Jaam De Ya Na De Aaj Hum Toh
Maikade Mein Sawera Kareinge

I am to keep your words too, O' Cup Bearer
And I cannot offend the cup
Whether or not you serve me tonight
I will meet my dawn at your door


Iss Taraf Apna Daman Jalega
Uss Taraf Unki Mehfil Chalegi
Hum Andhere Ko Ghar Mein Bulaakar
Unke Ghar Mein Ujaala Kareinge

Here, my life will be on fire
And there celebrations will begin at yours
I willingly invite the darkness to my abode
So that brightness may exist at yours


Baat Tarq-e talluq Bhi 'Anwar'
Itna Ehsaa- e-Rasm-e-Wafa Hai
Aakhiri Saans Tak Bhi Hum Unse
Berukhi Ka Na Shikwa Kareinge*

Even after renouncing our relationship O’ Anwar
I am to maintain the ritual of faithfulness
Even unto the last breath
Never will I complain of aloofness


— Translated by Jamil Hussain, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Ghazal
Usky wo paon ki jhankar meri toba hay
Lag rehey hay koi ootar meri toba hay
Jaisay khushbo koi deeray se guzr jati **
Aise hay shukh ki raftar meri toba hay
Ishq ko log samajhtay hain darra sada hay
Rasta yar hay purkhar meri toba hay
Ishk main lut gia jo pa gia wohi manzal
Aag se piar ka izhar meri toba hay
Husn ko dhondhna mehnga hi parra hay humko
Hay tamasha sare bazar meri toba hay
Jurm bus itna tha bus bhr kay nazar dekha tha
Mehr ab dar pa hay dar meri yoba hay

Col Muhammad Khalid Khan
Copyright 2017 Hath Par
Saumya Jan 2020
Kaha se lae hunar unhe
manane ka
Koi jawab nhi hai unke
ruth jane ka
Ki mohabbat ki saza to
hame hi mili thi
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Raato ki neendo ko
udaya tha hamne
Khud jagkar unko sulaya
tha hamne
Par zakhm to akhir hame
hi milna tha ishq krne
ka
Kyuki jurm to hamne kia
tha dil lagane ka
Ain Sep 2020
Tere kufr ne ***** mujhe Aabid bana diya...
Dho dho ke zanb ashkon ne - saafi bana diya..

Guzre hue lamhon ka kya karun main tazkara....
Tere khayaal ke har pal ne faakir bana diya...

Tere kalaam e sang ne itna kiya maa’il...
Guftaar ke us qehr ne saaquib bana diya...

Saada dili ke jurm ne di itni ranjishein...
Dil e masoom ko dehr ne waqif bana diya...

Ab wasl ke khwaab bunte baithi ** jo “Ain”...
Dekho ke hijr ne tumhe khwabid bana diya...

— The End —