Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Zindagi ko jina sikh lo,
Zindagi se ladna sikh lo,
Hausla rakho sabse uper,
Zindagi me jitna sikh lo,

Bana do apni ek alag pahachan,
Naam wahi par kam alag **
Visva me tumhara ** ek alag kirtimaan,
Karke apne kul ko rausan,
hansna aur hansana sikh lo,
Zindagi ko jina sikh lo,

Dikha do duniya ko
Kanto jaisi raho par chalkar,
Pa lo apni manzil ko
Ek misaal bankar,
Etihas ke panno pe
apni pahchan likh do,
Safal hokar jeevan me tum
Zindagi ko jina sikh lo,
Zindagi ko jina sikh lo....
TRANSLATION FIRST PHRASE :-
Learn to live in life,
Learn to fight from life,
be courageous top,
Learn to win in life,

This poem dedicated to student like me.
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Àŧùl Jul 2016
Jo mere dil mein tu basi hai, (If inside my heart you reside,)
Toh zindagi ki har khushi hai, (Then I have all happiness in life,)
Na jaana – Na jaana jaanam mujhe chhod ke, (Don’t leave me alone,)
Na jaana – Na jaana mera dil tod ke… (Don’t ever break my heart…)

Tum se hi mera hausla hai, (My morale is from you,)
Tum se hi har faisla hai, (From you each of my decisions,)
Tere bagaer zindagi, begaani… (Without you my life is, stranger…)
Tere bagaer zindagi, veerani… (Without you my life is, emptier…)

Tum se hi jaana pyaar kya hai, (I have known love after knowing you,)
Tum se hi nayi zindagi hai, (Knowing you only I have a new life,)
Tere bagaer zindagi, begaani… (Without you my life is, stranger…)
Tere bagaer zindagi, veerani… (Without you my life is, emptier…)

Jo mere dil mein, tu basi hai, (If inside my heart you reside,)
Toh zindagi ki har khushi hai, (Then I have all happiness in life,)
Jo tu nahin toh, kya zindagi hai, (If you aren’t here, what my life is,)
Jo tu nahin toh, kya zindagi hai... (If you aren’t here, what my life is...)
The lyrics to the song which I had composed at just fifteen years of age but could never reach in time the ears it had been originally composed for.

My HP Poem #1099
©Atul Kaushal

The title is pronounced as /jo may-ray dil mein/.
Dharmendra Kumar May 2020
Pyaar ha pyaar itna pyaar
Jo mujhe, mujhako batati hai
Kya sahi, Kya galat
Ye samjhati hai
Kuch bhi yaha vaha Kiya na
Kaan pakad Kar bahut datati hai
Ye karna hai
Tum Kar loge
Aapni bhi takat, mujhme lagati hai
Gurur hai mujhe
Mera hausla hai
Itna ki kabhi jivan sathi , kabhi maa , kabhi dost to kabhi guru ban jati hai
Pyaar ha pyaar itna pyaar
Sath hu har Safar,  Har muskil halat me
Mai kabhi bola hi nahi
O khud samajh jati hai
Love you my life

— The End —