Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka
Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka
Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia
Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia

Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne
Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne
Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi
Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi

Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai
Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai
Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi
Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi

Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada
Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada
Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi
Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi

Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala
Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala
Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha
Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha

Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai
Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
Copyright© Shashank K Dwivedi
Website :- www.skdisro.weebly.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Mar 2018
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,

Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,

Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,

Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,

Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,

Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,

Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye  riwaz banaya ,

Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,

Waqt ka kaisa hai ye dastoor 
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,

Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya, 

Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,

Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,

Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,

Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,

Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........

Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
For Sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
Payal ki chaan-chaan se chaanke
khanke ban kangan
oos ki bunde hai hum ladki
man hai ek darpan,

Humse hai ghar baar tumhara
humse hai aangan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan,

Ladke hai wo prem ki jisme
hum tasweer sajaate
Haatho ki khalirekhao par
hum kishmat ban jaate
Humshe mahkata hai bachpan
aur sajta hai yowwan
oos ki bunde hai hum................
.........................................darp­an

Kabhi geet hai  kabhi gajal hai
aur kabhi angaar
Hum khubi se nibha rahe hai
apne sab kirdaar,
Chand sitare choo aaye hum
tood ke har bandhan
oos ki bunde..........
....................dhadkan

Hum hi wo maa hai jisne
iss dunia ko hai banaya
Patni Bhabhi Bahna Beti
ke rishto se hai sajaaya

Mat raundoo hum kalio ko
Mit jaayega Uppwan
oos ki bunde hai hum ladki
maan hai ek darpan....

(DEDICATED  TO EVERY GIRL)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Hamari Sanson Mein Aaj Tak
Woh Heena Ki Khushbhoo Mehak Rahi Hai
Labon Pe Naghme Machal Rahe Hain
Nazar Se Masti Jhalak Rahi Hai*

O’ even today within my breathes
That sweet smell of henna is still lingering
Upon the lips songs are way-warding
And with mischief, the glances are twinkling


Woh Mere Nazdeek Aate Aate
Haya Se Ek Din Simat Gaye Thay
Mere Khayalon Mein Aaj Tak
Woh Badan Ki Daali Latak Rahi Hai


O’ inching towards me,
One day he shyly gathered himself
Till today, within my thoughts
His body's youthfulness is still swaying


Sada Jo Dil Se Nikal Rahi Hai
Woh Sher-o-Naghmon Mein Dhal Rahi Hai
Ke Dil Ke Aangan Mein Jaise
Koi Ghazal Ki Dhaandhar Khanak Rahi Hai


O’ this cry coming from within my heart
Finds its way into verses and songs
As if in the courtyard of my heart
Beat of a poem is throbbing


Tadap Mere Bekharar Dil Ki
Kabhi To Unpay Asar Kare Gi
Kabhi To Woh Bhi Jaleinge Isme
Jo Aag Dil Mein Dahek Rahi Hai


O’ my restless heart's tremor
Will surely affect him one day
Someday, he too will burn
In the fire of my heart which is raging


— Translated by Jamil Hussain, Sung by Noor Jahan
Ain Sep 2020
Kadam yaadon ke ghere mein
Mera jab bhi kabhi padta
Woh aalam yaad aata tha
Woh aangan yaad aata tha

Woh dopahar mein gulmohar
Pe chadna yaad aata tha
Gulaabon, phal wa phoolon ka
Mehekna yaad aata tha...

Subah koyal ki ku ku ka
Woh shor o gul tha yaad aata
Agasi par tanhayi ka
Woh kona yaad aata tha

Har ek pal ki kahani thi
Woh dastaanon ka har lamha
Us chaukhat ka har ek paththar
Har zarra yaad aata tha

Falak par hi to hota hai
Tasawwur e irum aksar
Sama ki sar Zameen par tha
Jo "Firdaus" yaad aata tha

Padosi ka sulook e khair
Woh rishta yaad aata tha
Padosi ka hi phir hum par
Nishaana yaad aata tha

Woh kaalapan woh sannata
Woh buu e Raakh ka uthna
Mere armanon ke ghar ka
Jalana yaad aata tha

'Ain' ashq ab behta hai to kya
Mita to yeh nahi sakta
Khalish e qalb ka woh pal
Jo aksar yaad aata tha....
Shrivastva MK Mar 2018
Jis phul ne koi galati hi nahi ki, Use kis baat ki saza diya ja rha hai,
Es duniya me aane se pahle hi kyu use maar diya ja rha hai,

Ai Khuda kyu aise janwar ko tune banaya,
Ek chhoti kali ko pet me hi maar khud ko insaan btaya,

Na maaro us phul ko jisme us bhagwan ka hai waas,
Ek din aisa aayega jab ** jayega puri shristi ka naas

Arey nasamjh insaan sirf bete ki hi aas lagaoge,
To phir maa, behan aur dulhan kahan se paoge,

Mata-Pita ki galati ki saza us chhoti kali ko diya jata hai,
Ek chhote se andhere ghar me hi use maar diya jata hai,

Wo kali bhi baar baar unlogo se karti pukar,
Hey Maa-Baba mujhe pet me hi mat maar,

Ye duniya ek baar mujhe bhi dikha de,
Apne amrit ki ek ghunt mujhe bhi pila de,


Nanhi si jaan tou hai bekasoor,
Maar kar hi aakhir kyu milta hai pathar dilon ko suroor,

Wo bhi dekhna chahti hai duniya,
Janam lene se pehle hi Jaan gawani padti hai oo gudiya,

Apne hi hathon ukhed dete hai apne hi aangan ka phool,
Kaisa hai ye bereham logon ka usool,

Kismat wale hote hai wo insaan,
Jinki kokh mein dete hain betiyan bhagwaan,

Beti hai ishwar ka hai en anmol uphaar,
Jeene ka us nanhi jaan ko bhi hai adhikaar,

Sharam aati hai logo ki is ghatiya soch par,
Taras aata hai unpar
Jo apne hi ansh ka dete hain maar
Devi ka karte hain jo tiraskaar,

Banao ek naya usool
Beti ko karo qubool

Jeevan ka hai ye adhaar
Banta hai inhi se sansaar,

Likh us phul ka dard hamari aankhen bhar aai,
Teri banai duniya me O mera khuda ye teri kaisi khudai..
Ye teri kaisi khudai...


Collaboration by Manish Shrivastava and Sonia Paruthi
Shrivastva MK Mar 2018
Bachpan ka samay kabhi na lautkar aata ,
Har waqt bus yaadon ka aasma reh jaata ,

Khelte the hum bhi khub dhul ko udel ko,
Maaf kr diye jate hamare sabhi galtiya aur bhul ko,

Jab chaha has lete they ,
Aur jab chaha ro dete they ,

Chhote chhote aankhon me sapne bade hote the,
Na kisi se bair,sare log apne hote the,

Par ab tou aansuo ko chahiye tanhayi ,
Chehre par sirf jhoothi muskaan hai chhayi ,

Zindagi ki tapish mein kab bachpan guzar gaya ,
Kab bachhe se bade ** gye zindagi ki daur mein nazar hi nahi aaya ,


Kya din they chalate they baarish mein nao 
Ab khud ko chupane ke liye sochtey hain kha jao,
 
Na kuch paane ki aasha thi or na kuch khone ka drrrr,
Mast rehte they jaha apni hi dhun idhar udhar,

Koi lauta de bachpan ka sawan
Fir se mehak jayega mere dil ka aangan ,


Khelte they khilone se aaj khud khilona ban gaye ,
Bachpan ke sunhere pal na jaane kha kho gaye,

Maa se lipatne ke  bahane bnate,
Maa ke aanchal ke chav me hi so jate,

Chhote se kadam se saitaniya bde karte the,
Papa Ki pyari daat pr bhi ro dete the,

Jab bhi rota mai,Maa apne sine se laga leti thi,
Sahlake haath sar pr mere muskura deti thi,

Maa ka dudh jaise amrit ka pyala tha,
Sach me hamara bachpan bahut hi nirala tha,

Amrit ka Ek ghut pi kar bhi khush ** jate the,
Duniya ka sabse bda sukh maa ke aanchal me hi pate the,

Yaad hai hume wo khubsurat bachpan ke pal,
Muskura dete hum jab bhi yaad aate wo sunhare bite kal........

4th collab. Poem composed by
Sonia Paruthi & Manish Shrivastva
For sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
NESHABDH HAI YE JEEVAN , ISHEY SABH SE JULAJNA PADTA HAI..
NERDEHI HAI YE AANGAN , JO KALI KO PHOOL BANANE SE PEHLE KUCHALDETA HAI...
KUSHIYAA GIRJATI HAI AASU BANKE JAMEEN PAR .
BUS ! EK AKS REHJATA HAI MANN KE BANDH DARWAJEY PAR...
© Mrunalini D.Nimbalkar
A # tribute# to# female #infanticide ##speechless##nishabdh##

— The End —