Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Mar 2018
Bachpan ka samay kabhi na lautkar aata ,
Har waqt bus yaadon ka aasma reh jaata ,

Khelte the hum bhi khub dhul ko udel ko,
Maaf kr diye jate hamare sabhi galtiya aur bhul ko,

Jab chaha has lete they ,
Aur jab chaha ro dete they ,

Chhote chhote aankhon me sapne bade hote the,
Na kisi se bair,sare log apne hote the,

Par ab tou aansuo ko chahiye tanhayi ,
Chehre par sirf jhoothi muskaan hai chhayi ,

Zindagi ki tapish mein kab bachpan guzar gaya ,
Kab bachhe se bade ** gye zindagi ki daur mein nazar hi nahi aaya ,


Kya din they chalate they baarish mein nao 
Ab khud ko chupane ke liye sochtey hain kha jao,
 
Na kuch paane ki aasha thi or na kuch khone ka drrrr,
Mast rehte they jaha apni hi dhun idhar udhar,

Koi lauta de bachpan ka sawan
Fir se mehak jayega mere dil ka aangan ,


Khelte they khilone se aaj khud khilona ban gaye ,
Bachpan ke sunhere pal na jaane kha kho gaye,

Maa se lipatne ke  bahane bnate,
Maa ke aanchal ke chav me hi so jate,

Chhote se kadam se saitaniya bde karte the,
Papa Ki pyari daat pr bhi ro dete the,

Jab bhi rota mai,Maa apne sine se laga leti thi,
Sahlake haath sar pr mere muskura deti thi,

Maa ka dudh jaise amrit ka pyala tha,
Sach me hamara bachpan bahut hi nirala tha,

Amrit ka Ek ghut pi kar bhi khush ** jate the,
Duniya ka sabse bda sukh maa ke aanchal me hi pate the,

Yaad hai hume wo khubsurat bachpan ke pal,
Muskura dete hum jab bhi yaad aate wo sunhare bite kal........

4th collab. Poem composed by
Sonia Paruthi & Manish Shrivastva
For sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi

— The End —