Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aslam M Jun 2018
Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai.
Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.  

Haseen Badaan  ko chupati bhi hai
Dil kai dhadkanai kau badaati  hai.  

Kamaar ki woh thar tharanaa.  
Kamil naaf ka woh chup chupunaa.  

Woh gehri aur nazuk sai sozen kari
Aap ki khobsuraati ka izafa kar dehti hai.

Lal rang ki saree ka jawaab nahi hai.
Aisa lagta hai ki Rooh ka libaas hai.
Abhisek Agrawal Apr 2020
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.

Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.

Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.

Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.

En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
abhisek.agrawal@gmail.com
http://youtube.com/user/abhs253/
Tum kanha **
Mein yanha hu
Phir bhi ye fasla
Kyu kyu kyu?

Baaton hi baaton me
Ghumne laga mausam mastana
Phir tera yunhi chale jana
Kyu kyu kyu?

Dard e dard me maikhane mera jana
Ab mat kehna kyu kyu kyu?
Ab shaam meri sharaab
Shubah meri sharaab
Par tumhara koi nahi jawaab
Kyu kyu kyu?
Aslam M Nov 2018
Bas Puchata Tha Yeh Ek Sawaal.  
Badan Ban Jata Ek Mashaal.

Na Dai Woh Uska Jawaab.
Bhuj Jaati Hai Woh Aftaab.  

Yeh Silsalaa Chalta Raha.
Aur Qayamat Tak Chalta Rahaiga.

Aab Baizaar Hau Gayai Hai Hum.
Zindagi Khuch Nahi hai Siwai Ghum.
Aslam M Jun 2018
Jab jee chaaha baat kiya
Jab jee chaaha nahi kiya

Gufutugu ki nadii kabhi behtee thai.
Ab jawaab kai intezaar kartai hai.  

Kyu Hauta  hai puchta hai mera Dil
Kya mai hu issi kaa Qabil.

— The End —