Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Abhisek Agrawal Apr 2020
Meri ankahi amaanat, meri eklauti ibaadat,
Meri jarurat, tu hi to hai meri zindagi,
Jakhmo ka marham, mera naadaan bachpan,
Meri hasi, tu hi to hai meri amaadgi.

Meri pahli ummid, mera akhiri kadam,
Meri parchhai, tu hi to hai meri baarish,
Har sawaal ka jawaab, mera har khwaab,
Meri neend, tu hi to hai meri khwahish.

Tu hi to hai jiske liye
Main bejaan ab saanse leta hoon,
Rukhi zindagi ki jameen mein
Tere hi to waqt ke beej bota hoon.

Tu hi to hai jiske liye
Duniya mein apni baat rakhta hoon,
Begairat duniya ki baaraat mein
Khushiyo ki sougaat rakhta hoon.

En bejaar chaar deewaaro ko
Tu hi to hai jo ghar banaati hai,
Tu hi to hai mera aaj, aane waala kal
Tu hi to meri jeewan saathi hai.
~abhs
abhisek.agrawal@gmail.com
http://youtube.com/user/abhs253/

— The End —