Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
JAMIL HUSSAIN Oct 2016
Apni Dhun Mein Rehta Hoon
Main Bhi Tere Jaisa Hoon

Roaming within my own tunes I am
O’ just like you I am


Oh Pichhlee Rut Ke Saathi
Abke Baras Main Tanha Hoon

O’ friend of the past season
This year completely alone I am


Teri Gali Mein Sara Din
Dukh Ke Kankar Chunta Hoon

Whole day, in your street
Collecting the pebbles of sorrows I am


Mera Diya Jalaye Kuan
Main Tera Khali Kamra Hoon

Who will set my lamp alight?
O’ your vacated room I am


Apni Leher Hai Apna Rog
Dariya Hoon Aur Pyasaa Hoon

My own wave is the malady
Ocean I am and yet so thirsty I am


Aati Rut Mujhe Royegi
Jaati Rut Ka Jhonka Hoon*

Coming season will weep for me
O’ breeze of the ending season I am


— Translated by Jamil Hussain, Poet Nasir Kazmi, Sung by Ghulam Ali
Angad Anaam Mar 2021
Language : Hindi (India)

Aadha hi jiyaa maine baaki maazi me kaat diya !!
Jispr sawan beete thhe wo darkhat hi maine kaat diya !!
Mai hi usse mnaata hu jab bhi koi jghdaa hota hai !!
Abke nahi mnaaya or kudrat ka likha kaat diya !!

Jiske liye uthaata thaa ussi pr uth gye haath mere !!
Zehen me jaise aaya ye us haath ki nabz ko kaat diya !!

Suna hai tumne khat ko mere sirf jlaana hota hai !!
So abke maine khat bheja or likhkr sbkuch kaat diya !!

Wo ro ro kar mnaa rahi thi Anaam wapas aane ko !!
Mai be-bas hota iss se pehle phone hi maine kaat diya !!
Maazi- Past
Haath Uthaana - Dua Maangna & Maarna

— The End —