Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
 
Shrivastva MK Jun 2017
Pyar kiya to nibhaya karo,
Deke dard judai ka na mujhe yu tadpaya karo,
Na lo meri mohabbat ka imtehaan,
Kya kami rah *** meri mohabbat me ye to btaya karo,

Sath na dena ** yadi to sapne na dikhaya karo,
Jana ** dur hi agar to kisi ke zindagi me na yu aaya karo,
Kar ke wada sath nibhane ka,
Mujhe yu akela na chhod jaya karo,

Ae pal ab tum hi es jawane ko samjhaya karo,
Kisi bhi ajanabi ko yu na dil me basaya karo,
Najane kitne aashiq jale honge kisi Ki mohabbat me,
Ai khuda aashiqo ko yu kisi ke mohabbat me na jalaya karo,
Na tadpaya karo.....
Shrivastva MK Jun 2017
Hawa ban aapke sanson me utar jaunga,
Bhulna chahoge to dil kone baith jaunga,
Chahe Kitni bhi nafrat ** aapke dil me,
Mai bhir bhi aapko chahunga,

Tu chand mai Tara ban jaunga,
Ghane badalon me mai kho jaunga,
Jab nind se band ** jayengi aapki aankhen,
Chupke se mai aapke sapne me aa jaunga,


Aapki khushi ke liye khud mar jaunga,
Bhawara ban aapke kano me gungunaunga,
Khuda aapke chehre par yu hi muskan bnaye rakhe,
Aapka har GAM mai sah jaunga
Mai phir bhi aapko chahunga....
Thanks for reading my poem...
This title is taken from song mai phir bhi tumko chahunga and contains is arranged and written by Shrivastva MK
Thanks
Shrivastva MK Jun 2017
Kitni azeeb hai ye Duniya kitne ajeeb log,
Koi kisi ko dara rha, kuchh sahme sahme se log,
Bada muskil hai esko samjhna,
Yaha palbhal me baldate hai log,

Humne bhi socha tha Ki jawane ko badalenge hum,
Ek nayi soch ke sath ek hokar chalenge hum,
Par ye dekh kar dil tut gya Jab ek hi dali ke chaar phoolon ne kaha,
Nahi hum khilenge,aur nahi ek dusre se milenge hum,

Roh deti hai kalam bhi likhkar dard jawane ka,
Kuda-Kachra nadiyon me kya haal bna diya Bharat ke khazane ka,
Roti ke liye tadapte sadak par log,
Aur yahan pariyojna chalai ja rhi desh ko smart banane ka,

Gareeb ko roti kapda aur makan chahiye,
Kisano ko es desh me apni ek pahchan chahiye,
Sabhi ko samjhe ek barabar,
Aisa deshbhakt insaan chahiye,
Aisa deshbhakt insaan chahiye....
So ashamed to watch and write the real figure of Indian village and their peaples here lots of problems and leaders come at the term of election after electing they havent come till day...
...
Shrivastva MK Jun 2017
Ai khuda kyon hansa ke mujhe rula rha,
Mere chhupe dard ko aur bada rha,
Nahi jih sakta mai unke bin,Ye jankar bhi
Kyon unke pyar me mujhe tadpa rha,
Shrivastva MK Jun 2017
Najane kyon rutha rutha hai ye pal,
Chhin ke meri khushi deke dard bhra gum,
Ai khuda ye tera kaisa insaaf hai,
Lauta de tu mujhe meri zindagi nahi lagta unke bina mera man,
Najane kyon rutha rutha hai ye pal,

Hal-e-dil ab sunau kissse,
Apni khoi khushi ko lau kaise,
Ai khuda ab ye khubsurat Duniya bhi badi ajeeb lag rhi hai,
"Mai unse bahut pyaar karta hu" ye sandesh pahuchau kisse,

Ye jhuthi muskan to ek bahana hai dard chhupane ka,
Wo bhi roh rahe honge soch haal diwane ka,
Ai chand kyun ** gya tu badalon me ojhal,
Najane kyon rutha rutha hai ye pal...
Shrivastva MK Jun 2017
I've seen changing people for money,
I've seen dithering people for money,
Its not god but,
I've seen dying people for it,

I've seen burning people in sunlight for money,
I've seen trembling people in cold for money,
It's not homer but,
I've seen destroying home for it,

I've seen changing relation for money,
I've seen surrendering people for money,
Its not diet but,
I have seen sleeping people without meal due to no money,

I've seen ashamed people for money,
I've seen running people on fire for money,
Its not food but ,
I've seen dying people form hunger due to no money,

I've seen ******* woman for money,
I've seen burning daughter-in-law for money(dowry),
Its not cloth but,
I've seen walking people without cloth due to no money,

I've seen quarreling brethren each other for money,
I've seen dancing ******* the road for money,
Its not luck. But,
I've seen changing luck from money..
Translation of Paisa,
Its my personal opinion if any word hurts u sorry for that..
Thanks
Shrivastva MK Jun 2017
Maine paise ke liye insaan ko badalte dekha hai,
Maine paise ke liye insaan ko tadapate dekha hai,
Ye bhagwan to nahi par,
Iske liye insaan ko marte dekha hai,

Maine Paise ke liye kisi ko kadi dhup me jalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko thand me tadapte dekha hai,
Ye grihdata to nahi par,
Iske liye kitno ke Ghar ujarte dekha hai,

Maine Paise ke liye riste badalte dekha hai,
Maine Paise ke liye kisi ko naak ragarte dekha hai,
Ye koi aahar to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin bhojan ke sote dekha hai,

Maine Paise ke liye insaan ko nazaro se girte dekha hai,
Maine Paise ke liye insaan ko aag par chalte dekha hai,
Ye koi Ann to nahi par,
Iske bina insaan to bhukh se marte dekha hai,

Maine paiso ke liye aurat ke kapade utarte dekha hai,
Maine paiso ke liye Ghar me bahu ko jalte dekha hai,
Ye koi vastra to nahi par,
Iske bina kaiyo ko bin kapade yu tahalte dekha hai,

Maine paiso ke liye Bhai Bhai ko ladte dekha hai,
Maine paise ke liye ladki ko sadak par thirkate dekha hai,
Ye koi bhagya to nahi par,
Esse kaiyo ke bhaag badlate dekha hai,
Bhag badlate dekha hai.....
Its my personal opinion about money,if any word or sentence hurts u sorry for that,
We have really seen the real figure of money,and have seen children working in company for money..
Translation available
Next page