Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Yeh waade
Yeh kasme
Yeh Silsila
Yeh Ishq
Yeh junooniyat
Yeh aashiqui
Yeh Lamhe
Aur
Mein sharaabi
Dooba
Woh waade
Woh iraade
Woh baatein
Woh nazm
Woh aaina
Woh Aankhen
Woh hi woh
Mein Kanha
Ghul sa Gaya
Yeh Woh yaadon me
Aur mein neend e Khamoshiyaan
Bin piye maikhane me
Neend me jaagta
Yeh Woh khwaabo liye
Mann hi Mann me
Hazaaron  khwaahish e fitoor..
..
Ayush Gangwar Nov 2018
Kuch gine chune se saal hai,

Jo hai yahi haal hai…

Thode rishtey hai jyaada waade hai,

Kuch pure hai kuch aadhe hai…

Chaar dost hai aneek iraade hai,

Jindagi haar jeet se aage hai…

Jo baate adhoori hai,

Adhoori hi sahi…

Dosto muskurate raho jindagi itni bhi buri nahi…
Veena Iyer Aug 2020
Zindagi bas yuhi chalti jaarahi
Jaise ** kisi shaayar ka tassavur
Jo kabhi rokey na rukey ,
Jiske anjaam se wo ** bekhabar
Jo Zara si hawa se behek jaaye
Jismein chehre lage kuch jaane se
Magar jinke iraade ** anjaaney

Jahaan har koi hai apne hi dhun mein diwaana
Koi Kare  kisi aur ka parwaa na
Bade bade ** imaaratein jahaan
Par jinke dil ** bas itna hi wahaan

Jahaan hoti hai itni aawaaz
Ki kisi ko na ** dhadkano ka aaghaas
Har koi Uss makaam ko pohachna chaahe
Jo aasmano tak ko bhi paar kar jaaye

Yeh dil bechaara Kare bhi to kya
Kisi ke armaan adhurey rehgaye bhi tho kya
Dil ki aawaaz koi na sune bhi tho kya
Koi hame wahin chod jaaye bhi tho kya

— The End —