Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Feb 2017
Ai khuda Mujhe Hawa bna de,
Mujhe unke sanso me bsa de,
Kabhi bhi na ** Saku Dur unse
Aisi meri taqdeer bna De,

Ai khuda Mujhe aansoo bna De,
Mujhe unke aankho me bsa De,
Khushi ke Pal ** ya ** dukh ki ghari
Us Pal unke aankho se Mujhe chhalka de,

Ai khuda Mujhe sitara bna de,
Mujhe us Chand ke paas bitha de,
Jih bhar ke dekh lu Mai us Chand ko
Aisi chandani raat bna de,

Ai khuda Mujhe aaina bna de,
Mujhe unke kamre me bitha de,
Har Pal wo mere samne **
Aisi khubsurat pari unhe bna de,

Ai khuda Mujhe kajal bna de,
Mujhe unke aankho me laga de,
Na lage Unhe kisi ki nazar
Unke sare dukh Mujhe dila de,
Unke sare dukh Mujhe dila de....
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Kya pareshaniyan hai yeh intezaar,
Na Khabar, na paigham, na iblagh

What distress this waiting is?
No news, no message, no communication

Aate jaate hain duniya waalon magar,
sakht sozish rehta hai seene mein, yeh intezaar

People come and go in the world,
But a sharp pain remains in my chest, this waiting

Ache aqwaal karte hai bekhauf se,
Lekhin ghari tik tik karta hai, yeh intezaar

They speak words of comfort fearlessly,
But time ticks away slowly, this waiting

Mahine beet gaye mausam guzarte, kya barqarar?
Aatish-e-rut mahol dil mein, yeh intezaar

Months have passed, seasons have changed, what remains?
The fire of longing in my heart, this waiting

Ab yeh jazb aur zakham-e-rooh kya faida?
Shukriya kehta Nacheez, yeh intezaar

Now (after all of this), is there any benefit to this intense passion and spiritual wound?
Nacheez says thank you, in this waiting

— The End —