Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Akta Agarwal Apr 2021
Bikhre alfaz
Tute khwab -

Bikhre bikhre s Kuch alfaz h
Tute tute s khwab h
Antarmn ab bechen sa h
Hue khwab aahat s h
Dil m lga ghav sa h
Bikhre bikhre s Kuch alfaz h
Tute tute s Kuch khwab h
Sangharsh krna bna muskil sa h
Aasan raah ki talash v na ktm hota sa h
dra dra sa ab mn rhta h
Hoton ki hasi v ab khi chupa sa h
Khi gm K sagar h to khi shukh K leher aae h
Kisi K sapne hue raakh K s
To kisi ne nae sapno ki chavi bnae h
Sunn K baat yh nae dil m
aae Kuch aash sa h
Bikhre alfazo ko sajakr koe
Naye sapne bunne ka khwab sa h.
Bikhre s alfaz h tute s khwab h pr ek asha ki kiran ne di nae si aash h
Har haal mein hum khush reh le,

Gujarish hai bs mera humsafar har janam mile.



Tabeez bnkar har buri nazar se mai unhe bacha lu,

Apni har saans mai har janam unke sang likh du.



Ye saanse agar tham bhi jayein,

Aye mere sanam aap humesha mere sang rahein.



Ye uljhi hui haathon ki lakeer,

Aapke aane se sajti hai taqdeer.



Mere rom rom bs ek hi hai naam,

Aye khuda padh le mere naam se aaya paigaam.



Daaman failaye fariyaad hai tujhse,

Humesha jode rakhna mujhe unse.



Wo mile sab kuch paa liya maine,

Aur kuch na ab mujhe chahiye.



Ankhiyon ko sukoon milta,

Jab chehra unka dikh jaata.



Is rani ki jaan tou hai wo raja,

Unhi ki badault meri maang mein sindoor saja.



Har koi chahta hai us aasmaan ke chaand ko,

Mera chaand tou mere paas humesha **.



Sajda karu mai unki is rooh ko,

Suche moti se bhi saacha hai unka dil wo.



Poori kayenaat samet ke meri jholi mein daal di,

Is dil ki saanse tou us dil se humesha humesha ke liye judi.



Wo saath hain tou mera khuda hai mere pass,

Behad pyaara hai unka aur mera dil ka har ehsaas.



Jab raakh ** jayegi ye kaaya meri,

Mujhe har pal sukoon pahuchayegi awaaz wo teri.



Saanse rahe na rahe mere saathiya,

Humesha mere sang rehna mere mahiya.



Jab umar ki ye naiya bhawar badal legi,

Chehre ki chamak apne rang badal degi.



Fir bhi aap humesha mere sang rehna,

Mujhe aapse bs yahi hai kehna.



Bikhre bikhre se they hum pehle,

Aapke aane se is zindagi mein phul khile.



Mere pass shabd hi nahi hain ki kaise us uparwale ka ,

Mai shukriya ada karu? Aap mile sab kuch mil gaya.



Jab ye waqt khafa hone lagega mujhse,

Ye duniya bhi saath chhor degi aas rhegi tujhse.



Har kadam par saath rehna mere sanam,

Tere siwa koi nahi hai mera humdum.



Ye qismat humari bhut khel hai khelti,

Dil ki dadhkane har pal aapko talaashti.



Chahe kaisa bhi ** manjar,

Zameenein hongi banjar.



Tab bhi mere sang rehna.

Bs yhi hai aapse kehna.



Aapke ye ardhangini humesha hai aapke saath,

Haathon mein liye hardum aapka haath.



Chahe waqt badle ya taqdeer khel khele,

Har pal aapki biwi milegi aapko lagaye seene se .



Kuch nahi chahiye humein,

Neele gagan ke neeche kahin bhi aapke sang rehle.



Bs aap saath rehna,

Itna hi mujhe kehna.
Riddhi N Hirawat Jan 2019
Kabhi apne aap ko bhoolti ***
Kabhi apne aap ko chunti ***
Bas dhundhti *** khud ko

Kabhi inn bikhre panno mein
Kabhi inme likhe lafzon mein
Padhti *** khud ko

Kabhi dhokha kha jane mein
Fir khud ko saza de jane mein
Maarti *** khud ko

Kabhi baarish ki awaz mein
Kabhi hawaon ki aahat mein
Dekhti *** khud ko

Kabhi bajte huwe piano mein
Kabhi gaano ke taraano mein
Sunti *** khud ko

Kabhi uski aankhon ke paani mein
Kabhi uski di hui zubani mein
Paati *** khud ko

Bas dhundhti *** khud ko
Bas dhundhti *** khud ko
Neeraj katta Jan 2019
Ab to bas kisse, kahaniyo or yaado ki jagir baki hai.
Ab to bas aaeno me dikhte aks ki tasveer baki hai.
mazile yahi hai, raste yahi hai socha mil kar aa jau
Ab to bas pairo se tuti bikhari waqt ki zanjeer baki hai.
Nk

— The End —