Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Maa ki mamta ko dekh maut v
aage se hat jati hai
gar  maa apmanit hoti
dharti ki chaati fat jaati hai
ghar ko pura jeevan dekar
bechari maa kya pati hai
rukha sukha kha leti hai
paani *** kar soo jati hai

Jo maa jaisi devi ghar ke
mandir me nahi rakh sakte hai
wo lakho punya bhale kar le
inshan nahi ban sakte hai
maa jisko v jal de-de
wo paudha sandal ban jata hai
maa ke charno ko chukar paani
Gangajal ban jata hai

Maa ke anchal ne yugo-yugo se
Bhagwano ko pala hai
maa ke charno me jannat hai
Girijaghar aur Shivala hai
Himgiri jaisi unchai hai
sagar jaisi gahrai hai
dunia me jitni khushboo hai
maa ke anchal se aaye hai

Maa kabira ki sakhi hai
maa tulsi ki chaupai hai
meerabai ki padawali
khusru ki amar rubai hai
maa angan ki tulsi jaisi
pawan bargad ki chaya hai
maa ved richao ki garima
maa mahakavya ki maya hai

Maa maansarovar mamta ka
maa gomukh ki unchai hai
maa parivaro ka sangam hai
maa rishto ki gahrai hai
maa hari dubh hai dharti ki
maa keshar wali kyari hai
maa ki upma kewal maa hai
maa har ghar ki phulwari hai

Saato sur nartan karte jab
koi maa lori gaati hai
maa jis roti ko chu leti hai
wo prasad ban jati hai
maa hasti hai to dharti ka
jarra-jarra muskata hai
dekho to dur kshtiz ambar
dharti ko sheesh jhukata hai

Mana mere ghar ki deewaro me
chanda si murat hai
par mere man ke mandir me
bas kewal maa ki murat hai
maa saraswati lakshmi durga
ansuya mariyam sita hai
maa pawanta me ramcharit
manas me bhagwat geeta hai

Amma teri har baat mujhe
vardaan se badhkar lagti hai
he Maa teri surat mujhko
bhagwan se badhkar lagti hai
saare teerath ke punya jaha
mai un charno me leta hu
jinke koi santan nahi
mai un maawo ka beta hu

Har ghar me Maa ki puja **
Aisa sankalp uthata hu
Mai dunia ki har maa ke
Charno me ye sheesh jhukata hu.....
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Geetanjali dogra May 2020
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa
Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi,

Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa...
Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi,

Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa
Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi,

Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa...
Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi,
Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine
Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi,

Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse
Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi,

Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa
Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi,

Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi,

Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai
Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai,
Bachpana samjho ya nadaniya samjho
Par tere hi aggey hua karti thi,

Tu Maa thi ya meri dost thi
Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi,

Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai,
Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa,

Qki maa teri meri yadein bht achi thi
Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi.

Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa..
Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa,

Sach Drr lagta hai duniya se maa ab
Jee paungi ya tut jaungi mai ab,

Kitni bholi thi maa tu humesha se
Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi
Toh kick tu hi mara karti thi,

Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu
Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi,

Itni sachi aur achi maa thi tu
Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi,

Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se
Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse,

Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko
Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko,

Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye
Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye
Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere
Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye,

Maa bharosa kar mera
bharosa nahi todungi tera
Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
Shrivastva MK  Sep 2015
MATA-PITA
Shrivastva MK Sep 2015
MAA

Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,

Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,

Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,

                PITA

Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,

pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,

Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan  bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,

maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Dedicated to my parents
Shrivastva MK May 2015
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum,
tere sikhaye hua rashte par
chalte hain hum,
Maa tujhe kabhi bhi na ** dukh,
eske lia bhagwan se prathna karte hain hum,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. ..


Tere charano me maa
ye dunia sari dhikhti hain,
baccho ke lia maa tu bhagwan si lagti hain,
tujhe maa kabhi bhi na denge dukh hum ,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. ..


Maa apne baccho ke lia
jaan bhi de deti hain,
kahti hain Maa
mere bete tujhe kuchh hone na
denge hum,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. .
Maa ko dukh dene wale
rote hain aakhri dum .. .
maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum ..
Dedicated to my mother
                                 Shrivastva MK
Shrivastva MK  Jun 2017
MAA
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
kundan kumar  May 2015
maa
kundan kumar May 2015
maa
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
mamta ki sarowar me dub jana chahta ***
yein duniyan ki rasme se parein hona chata ***
is jhut ki nagri se niklna chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
yein badal tu mujhse kyun puchh raha h
tu bhi to maa ki mamta ko chahta h
tabhi to pani bankar maa ki god me barasta h
mai bhi apne aansu maa ki god me bahana chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
yein pat tu mujhse kyun puch rahan h
tu bhi to maa ki god me samana chahta h
kabhi patjhar, to kabhi aandhi ke karan maa ki god me aana chahta h
mai bhi apne mastak maa ki god me girana chahta ***
payar ke do lamhon me kho jana chahta ***
maa ke aanchal me so ja jana chahta ***
Vineeta rai  Nov 2018
Meri maa
Vineeta rai Nov 2018
Meri pyari dost hai meri maa..
Meri jagat janani hai meri maa...
Meri dukho ko harne wali hai meri maa...
Meri khusiyo me apni khusi dhundhne wali hai meri maa..
Duniya ke najaro se bachane wali hai meri maa...
Khud takleef me reh k meri khwahiso ko pura karne wali hai meri maa...
Kya btaun kaisi hai meri maa...
Lafzo me nahi bayan kar sakte aisi hai meri maa....
Mere liy to meri bhagwan hai meri maa..  
Love u maa...  
I love my mother those who love too and like this poem then pls comment nd say m new here...
Shashank K Dwivedi  Aug 2015
Maa
Maa
Jab aankh khuli to amma ki
godi ka ek sahara tha
uska nanha sa anchal mujhko
bhumandal se v pyara tha.....
uske chehre ki jhalak dekh
chehra phulo sa khilta tha
uske stan ki ek bund se
mujhko jeevan milta tha
haatho se baalo ko noocha
pairo se khoob prahar kia
phir v us maa ne puchkara
humko jee bhar ke pyar kia

Mai uska raja beta tha
wo ankho ka tara kahti thi
mai banu budhape me uska
bas ek sahara kahti thi
ungli ko pakad chalaya tha
padhne vidlaya bheja tha
meri naadani ko v neej
antar me sadasaheja tha

Mere saare prashno ka wo
fauran jawab ban jaati thi
meri raho ke kaante chun
wo khud gulaab ban jaati thi
mai bada hua to college se
ek rog pyar ka le aaya
jis dil me maa ki murat thi
wo ramkali ko de aaya

shaadi ki pati se papa bana
apne rishto me jhul gya
ab karwa chauth maanta hu
maa ki mamta ko bhul gya
hum bhul gye uski maamta
mere jeevan ki thati thi
hum bhul gye apana jeevan
wo amrit wali chaati thi

Hum bhul gye wo khud bhukhi
rah karke hume khilati thi
humko sukha bistar dekar
khud geele me soo jaati thi
hum bhul gye usne hi
hotho ko bhasha sikhlayi thi
meri neendo ke lie raat bhar
uss maa ne lori gaayi thi

hum bhul gye har galti par
usne danta samjhaya tha
bach jau buri najar se
kala teeka sada lagaya tha
hum bade hue to mamta wale
saare bandhan tod aaye
bangle me kutte paal laye
maa ko vridhaashram chod aaye
apano sapno ka mahal girakar
kankar -kankar been laye
khudgargi me uske suhag ke
aabhushan tak cheen laye

Hum maa ko ghar ke batware ki
abhilasha tak le aaye
usko paawan mandir se
gaali ki bhasha tak le aaye

to be continued ........(next part may be in next week)
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Meri pehchan shirf itni hai ki "I'm born in INDIA" Bharat meri pehchan h, Bharat mera samman h, Bharat mera Abhimaan h
||
Aap mujhshe sab kuch cheen sakte **, mera tan mera lahu par meri pahchaan mujhse Bhartiya hone ki nahi cheen sakte aur wahi meri identity hai, mai bhartiya hu mujhe iss par bahot garv hai or iss se uper koi garv mujhe chahie v nahi ||
Mai Bharat maa ka beta hu pahle ,uske baad ek maa ne mujhe janm dia h is sthal bharat bhumi par ussi ki lie kuch likha tha ye ki..
KAASH MERI ZINDGI ME SARHAD KI KOI SHAAM AAYE
KAASH MERI ZINDGI MERE WATAN KE KAAM AAYE
NAA KHAUF HAI MAUT KA OR NAA AARJU HAI JANNAT KI
MAGAR JAB KABHI ZIKR ** SAHEEDO KA
KAASH MERA V NAAM AAYE KAASH MERA V NAAM AAYE
This is what i would love to introduce myself like that....
Agar koi puche ki kaun tha wo -
JAB KOI PUCHE MERE BAARE ME
TO MERI YE PEHCHAAN LIKH DENA
UTHANA MERA COMMANDO DAGGER
OR CHATTI PAR HINDUSTAAN LIKH DENA
KOI PUCHE PAGAL THA WO KAUN
TO BHAGAT SINGH OR KRANTIKARIO KA CHELA
OR INQUILAB KA GULAM LIKH DENA
AUR BACHA ** JO **** ME LAHU
NIKALNA USSE OR FEKANA ZAMEEN PE
OR MAA TUJHE SAALAM LIKH DENA
Yhai parichaye tha hai or rahega...... |||||||||
Aaj kal bahot ek mudda chal rha h Desh bhakti kuch logo ne usse Hinduo se jod dia kuch ne mushlmaano se kuch ne sikkho se kuch ne ishayeo se, ek baat yaad rakhna hum pehchaan hai Ek aisa mahavidyalaya ek aisa university (its like an university ,its like a college the country is like college, we may have different wings, we may have different subjects but we all belong to une college/ university and that is Bharat ||
aaj bahot jaruri ** gya uss ‪#‎traitor‬ us gaddar ya behter language me usse ‪#‎gaddar‬ or ‪#‎Chutia‬ khenge..
lets talk about that person jisne har fauji har iss bharat maa ke bete ko hurt kia h aaj uske baare me baat karna bahot jaruri ** gya h
Naa hinduo se naa mushalmano se
iss mulk ko taqleef hai gaddar or baemaano se
jinhe hum haar samajh baithe the
gala apana sajane ko
wahi ab naag ban baithe
humhi ko kaat khane ko
Pichle 2-3 mahine, it has been disturbing me a lot " I being an Indian ,I being a simple son of this motherland feel hurt ..
Bura lagta haikaaran ye hai log kahte hai hum kuch kar nahi sakte
"Aisa hai karne par aa jaye to bahot kuch kar sakte hai , lekin hum samman karte hai bharat ke sarrwoch nyayalay ka (Supreme court ka )" or uske aadesh ki awhelna nahi karna chahte hai , uske aadesh ka paalan karte hue kuch gaddaro ko aaj v chod rakha hai,
warna aisa hai kaam hi haddia todne ka or jaan lene ka hindustani fauz karti hai |
kisi ne kaha mai unn gaddaro ka naam lena v pasand nahi karunga,bcz wo itna v deserve nahi karte ki unka naam is juban par aaye
but ek cheej bolna bahot jaruri hai ''ki Bhartiya senaa ****** hai"
Agar gharo me baithe ** naa or tumhari behne or tumhari maaye ghar se nikal kar jaa rahi hai to sirf ye hindustani fauz hai jiski dumm pe tumne bhai hone kaa baap hone ka farz nahi nibhaya hoga "this is the only indian armed forces which maintain the degnity of a soldier nad maintains that brotherhood" aapki bahne aapki maaye agar surakshit hai to wo bharat ki senaye hai jiske kaaran hai , bolne ke pahle socha karo or kismat bahot acchi thi ki fauz ke saamne nahi bola warna jo Hero bana di na iss desh ne ,fauz tum jaise ko choddti bhai nahi ....magar ye bharat ka samvidhan hai "there is the constitution of India" jisne baandh rakha hai humare haatho ko , Krodh karna meri aadat nahi hai magar aata hai gussa islie aata hai kyuki chanakya ne kaha ki akshar maine juthe logo ko mushkurate hue dekha hai .. jo sach bolta hai or dil se bolta haai usko gussa bahot aata hai or ye gussa iss bat ka hai ki iss desh me kutto ko maarne ki permission nahi hai isliye abhi tak bache hue ** "Ask ur sister ask ur family members ,if there are 10 young boys & if there is a single soldier ,ask a young girl where would you go for the help and whom would she ask for the help & i insure this that girl would go to a soldier and ask and she will say one thing suddenly she will use this word Bhaiya meri help kijie" kya hai ye jawani sambhal nahi rahi hai to batao 23 saal me Saheed Bahagat Singh,
Ram Prashad Bishmil bada bada kaam kar ke chale gye, bahot garmi aree sena join karo bharat ki fauz me aaodushmano se lado naaghar ke ander kyu dushmani ka mahaool banate **.....
Kisi ek bewkoof ne ye kah diya ki Bhagat Singh jaisa hai ,Abe sharm karo and clear ur facts before you compare that guy with revolutionaries, kaun the wo or kiski baat kar rahe ** uss inshaan ki who can't deliver two right sentences in one particular languages,
Aap uski comparison kar rahe ** jo Bharat ke samvidhan ko gaddar kah rha hai..
Thik hai bolne ki azadi hai magar ye azadi di kisne hai ," The freedom has been given to you bye the constitution of this country,The Honorable Supreme Court has some guidelines the honorable constitution of this country has some guideline and we must respect that "
Aap kaise Bhartiya sena ko ****** kah sakte ** sharm karo uss sentence par agar aaj v bacchia surakshit hai if the Indian youth if everybody who ever is doing what ever they want to do if this freedom has been given to them is just because of one thing that Indian Army ,Navy,Airforce, Indian armed forces are fighting for you day and night.
Jab tum sone jaate ** tab unki duty ka waqt shuru hota hai , sharm khao iss baat k lie aur yaad rakho Bharat ko todne ki koshish mat karo
Naa hinduo se naa mushlmano se
Iss mulk ko taqleef thi hai gaddaro se or bayemano se .
Or yaad rakho "Apni azadi ka galat upyog mat karo "
JAI HIND
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Vineeta rai Apr 2019
Ek ldki apne pure jeevan Me kya kya sehti hai ish kavita ke madhyam se batana cahti hu....

Waise to Laxmi, durga, saraswati kaha jata hai ladkiyo ko..
To kyu uske janm par mara jata hai ush masum ko....
Ladka hai to hamara chirag hamara vans aur ladki hai to sir ka bojh...
Jara yaad kro aise soch walo ladki na rahe to kahan se laao tum apna vans apna chirag...
Jo tmhe har khusiya De uski jra izzat ni krte....
Samjhte pair ki jutti **...
Are suno bewakufo...
Bina aurat aage ni badh sakte **....

Ladki ka to pura jeevan hi aisa hota hai... Ladki kabhi apna nahi soch sakti suru se maa baap Ka kaha manana aur fhir pati aur saas sasur ka... Apni khusiyo se jada pariwar ka sochna khud ki khwahiso ka Gala ghot sabki baat Manana....girls don't have life of there own... Chaliy aage dekhte hai.... Jb ldki ki saadi ** jati hai...

Ladki ko to suru se paraya dhan samjha jata hai....
Kyuki ushe vida hokr dusre ka ghar swarana hota hai...
Apni maa ka anchal chod...
Kai nae rista nibhana hota hai...
Kisi ki bahu kisi ki biwi kisi ki cachi 1000 riste bn jate hai...
Un sbko pyar se nibhana hota hai...
Ladki ka to naam hi tyag hai...
Kyuki suru se usne apni khusiyo ko tyagna sikha hai...
Kabhi maa baap ke majburi ke karan..
Kabhi society ke karan...
Aur fhir apne maa baap ko chod sasural jana hota hai...

Jara puchna cahti hu un ldko se... Kya tum apne maa ka saya chod reh skte **... Nahi na... To socho ek ldki kaise rehti hogi.... Wo tumhare liy apna har kuch chod skti hai... To kya tumhara farz ni ki uske khusiyo ka khyal rkho... Itna hi to ek ldki mangti hai.. Aur afsos tum log ushe wo bhi Ni de skte... Ldke bus apni jimmedari saupte hai apne faisle thopte hai... Ldki ke saadi ke baad to ushe apne mayke tk jane ka haq ni hota jbtk pati raazi na **... Kya ldki ki koi life hi  nahi...
Hum niyam to nahi badal sakte par itna to kar sakte hai na ki uske khusiyo ka bhi dhyan rakh ske...Kabhi socha hai ek ldki ke andar kitna kuch chlta hai par itne risto Me wo bandh kar kuch nahi keh pati.... Jara samjho ushe jo tumhe ache se samjh jati hai...
Tum kya khate **... Kya pasand hai... Kya kaam kb krte **... Tumhare kapde se lekar jutte tk har cheez ka khyal rkhti hai... Aur tum uska bhi khyal nahi rakh Pate...

Waqt chlta hai ldki maa banti hai....
9 mahine kya kuch seh ke ek bache ko janam deti hai....
Ush 9 mahine wo kis daur se gujarti hai wo wahi janti hai...
Sb kuch Sehti hai par chu tk ki aawaz nahi nikalti...
Aur ladki ka dard koi samjh ni pata...
Ek bache ko achi parwaris deti hai ushe Bada karti hai...
Ek ladki ki puri lyf ek battle field se kam nahi hoti...
Ladki janam se maut tak bahut kuch jhelti hai...
To apka bhi farz banta hai ushe samjhna....
Uski khusiyo ka khyal rkhna...
Ajj jada nahi ek baar Akele baith kr socha what a Girl do for uhh...
As a mother, sister, wife even ur girlfriend...just think ND try to understand her....
Ek khusi ushe bhi dekr dekhiy... Sach Me ldki ishse jada kuch nahi cahti...

Last Me itna hi kahungi...ladki dusro ke liy jeete jeete apna antim saans leti hai....
Pls I request to all boys and men.... Stop to hurt ur wife sister mother or gf just respect what they do for you.... And app bhi kuch krna sikho... Unke liy...

— The End —