Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
JAMIL HUSSAIN Nov 2017
Meri Zeest Pur Mussarat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Koi Behtarin Surat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Upon my existence, happiness
Never was, will not nor ever be

One perfect image
Never was, will not nor ever be

Mujhe Husn Ne Sataya
Mujhe Ishq Ne Mitaya
Kisi Aur Ki Ye Halat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Mein Yeh Jaante Huay Bhi
Teri Anjuman Mein Aaya
Ke Tujhe Meri Zarurat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Beauty has made me suffer
Love has caused me to fade
This state of any other
Never was, will not nor ever be

Knowing this
I came to your gathering
That for you, my need
Never was, will not nor ever be

Jo Gila Kiya Hai Tumse*
Jo Samaj Ke Tumko Apna
Mujhe Gair Se Shikayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Ye Karam Hai Doston Ka
Jo Woh Keh Rahe Hai Sab Se
Ke Naseer Par Inaayat
Kabhi Thi, Naa Hai, Naa Hogi

Those sorrows shared with you
Were with a belief that you are a part of me
Complaint to a stranger
Never was, will not nor ever be

This grace is from friends, who say to all
That upon *Naseer, favour
Never was, will not nor ever be

✒ Translated by ℐamil Hussain , *Poet, Peer Naseer Uddin Naseer, Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
Ain May 2022
Zahir se mat tolo faqat meri zeest ka mayaar...
Ahem ke saare mudde to chupe hue hain yaar...
Pal pal mein kitna jeete hain marte hain kitni baar...
Pal pal se seenchi umr ka kaise karo Hisaar...
Ain Sep 2020
Shikwa to bas ek bahana tha...
Tujhe mera dil hi jalana tha...
Kashish ranjish yun banti gayi...
Kehne ko to ek fasana tha. ...

Pal Pal tujh par hi lutana tha
Meri zeest se yeh hi karana tha
Meri rooh par chaya hua tha jo
Saanson ka wohi tarana tha

Teri chaah ko apna banana tha
Meri koshish ka woh nishana tha
Teri zid ka zarb magar mujh par
Jo pada to bas qatilana tha...

Nibha lo rasm e kafan ki ab
Anjaam e wafa yun sikhana tha....
Bejaan sa **** yun pada hai ab.....
Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....

— The End —