Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jul 2015
Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tere dil me rahna hai,
Na ruth jana kabhi mujhse,
Kyoki tera banke jina hai
Mujhe tera banke hi mar jana hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe tera aansoo banke bahna hai,
na bna sako mohabbat mujhe to
gam hi bna lo,
Kyoki tere dard me bhi
mujhe tere sath hi rahna hai,
Mujhe tere sath hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
Mujhe teri muskurahat banke
tere labon pe rahna hai,
banke kajal teri aankhon ka
mujhe har waqt teri aankhon me hi rahna hai,
Teri aankhon me hi rahna hai,

Mujhe kuchh kahna hai,
mujhe tera khwab banke rahna hai,
Jab gahari nind se band ** jaye ye palaken teri,
teri un mitthe khwabo me apne dil ki baat kahna hai,
mujhe apne dil ki baat hi kahna hai,
TRANSLATION OF POEM:-FIRST PHRASE
     I HAVE TO SAY SOMETHING...
I have to say something,
I have to live in your heart,
Plz don't to sulk with me
becoz i have to live
& i have to die with you,
Hey Suraj itna yaad rahe
Sankat ek Suraj Vansh pe hai
Lanka ke neech Raahu dwara
Aaghat Dinesh Vansh pe hai

Mere aane se pahle yadi
Kirno ka Chamatkar hoga
To Surya Vansh me Suryadev
Nischit hi Andhkar hoga

Islie chipe rahna Bhagwan
Jab tak naa Jaddi Pahuncha du mai
Bas tabhi Prakat hona Dinkar
Jab sankat dasha mita du mai

Aasha hai swarth Prarthna ye
Sacche jee se Swikaaroge
Aatur ki Praan Awastha ko
Hokar karunardh Niharoge

Anyatha chhama karna Dinkar
Anjani tabay se paala hai
Bachpan se jaan rahe ** tum
Hanumat kitna Matwala hai


Mukh me tumko dhar rakhne ka
Fir wahi krur saadhak hoga
Bandi fir mochak tab hoga
Jab Lakshman ka dukh mochan hoga
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Charu Singh Jun 2020
Pita hi Mera abhimaan hai,
Pita se hi meri jaan hai,
Pita se hi meri shaan hai.


Pita ke bina,
Ghar mai rahna
bhi soona hai.


Pita ke bina,
liya gya na lagta
apna khilona hai.



Pita ke bina,
Zindagi ki khushi
bhi
lagta rona hai.


Pita ke sang,
Sukhi roti bhi sona hai.
Dharmendra Kumar Jul 2020
Vaise ham naaraj bhi tumse is liye hote hai ki
Tumhare manane ka anddaz hame accha lagta hai
Lekin tum naraz mat hona kabhi
Pass rahna pass kam se kam chhup chhup ke dekhungi to sahi
Ki tum baar baar kahte ** kuch bhul gaye **
Tumko kya pata bhul to baate hoti hai
Tum to  is **** ki sans **
Jina bhi hai marna bhi hai bas har safar tum raho
Gam kya,dard kya, sab jhel jaoongi bas jab humdrum **

— The End —