Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
aviisevil Oct 2016
Jo wahan hai wo yahan hai
Jo yahan hai wo wahan hai
Par-e-dil gumshuda
Na Jane kahan hai
Ek chota sa to ye jahan hai
Hum to isse bhi bant chale
Dil to ek chota sa makam hai

A us ***** ko bhi sath le chalein
Jispe uska kudha mehrban hai
Ye to ek aeine ki zaban hai
Jane teri ankhein kahan hai
apne ko hi kyu karta hai khafa
Tujse zada insan to asman hai
Koi lakeer zisko na bant sake
Usse bant diya tune jahan hai

ab to diwaron me hi tu fanaa hai
agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?

rok na sake koi usse
jisko khaboien ki panaa hai
Jo pyar me bana hai
lakeeron ke uss par bhi to ek sapna hai
udhar bhi to koi shayad apna hai

agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?


ye jo rasta tumne chuna hai
akele pad jaoge tum beete kal
ye jo hai tumhari addat
ki ab to ibadat bhi gunha hai
kya tumne kabhi dheere se suna hai
wo ek muskaan ki shararat
jiska arth bhi tumko mana hai
dekh le us fakeer ki nazakat
jo tere mere khoon ki milawat
us lakeer ki ahat pe kurban hai


agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?
Javaria Waseem Feb 2015
Aur kitnay kaffan uthayein gay?
Aur kitnay bichar k jayein gay?
Aur kitnon ki qurbani dei
K ye sanehay khatam hojayein gay?

Aur kitna hum seh payein gay?
Aur kitna khoon bahayein gay?
Aur kitnon ko hum bhool jayein
Tou ye sanehay khatam hojayein gay?

Aur kitna sog manayein gay?
Aur kitnay ansoo bahaein gay?
Aur kitnon ko hum maaf karain
Tou ye sanehay khatam hojayein gay?

Kya hum bhi muskuraein gay?
Kya hum bhi zinda reh payein gay?
Ya hum bhi ab apni jaan de dein
Tou ye sanehay khatam hojayein gay?
Random lines that turned into a whole poem. First ever in urdu.
Rajat Sharma Jan 2017
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte
Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe
Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe
Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe
Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe
Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe
Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe
Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe
Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
This poem is written by me in context when a lover has left everything for her beloved one,Now he don't want anything.

Hope you all will like this.
Riya jain Oct 2018
andheri thi jo raat wo,
us raat ki kya baat kahun.
jis raat se wo mila nahin,
us raat ki kya subah kahun.

har raat ki h subah mgr,
us raat ki bhi subah hui.
charcha hui to khabar mili,
us shaqs ki toh maut hui.

shaqs to tha wo dost mera,
us shaqs ki kya baat karun.
ladka tha wo bigda magar,
uske dil ki kya taarief karun.
  
maut nahi thi tha wo khoon,
un kaatilon ki kya baat karun.
jese tadpaya un sbko,
Isse bhattar maut unko m ada krun.

galti kya thi un maasumo ki,
jo aisi bhynkr maut mili.
khuda tu hi jawab dega,
kynki tune thi wo maut likhi.

sbko jisne khush tha rkha,
uski shanti k m dua krun.
Yaad rkhnge use hmesha,
uski yaadon ki kya baat karun.

@riya
Sk Abdul Aziz Sep 2020
Tumhay chahkar bhi bhula nahi sakta
Kaisay bhulao tumhay???
Tum meray rooh may basti **
Tum meray khoon may daurti **
Meray tassavur may tumhari tasveer hai
Tum meray zehan par hukumat karti **
Tum meray har baat ko...har isharo ko...har dard ko... har khushi ko.. bakhubi samajhti **..
Aisa ek pal nahi guzarta jab tumharay baray may sochta na hoon
Kaun ** tum???
Kya rishta hai hamara???
Kya tum haqeeqat **???
Ya phir ek sunehra khwab???
(Urdu & Hindi)

English translation

I cannot forget you even if I want to
How do I forget you?
You reside in my soul
You run through my blood
Your picture is imprinted in my imagination
Your thoughts rule my mind
You understand every word I say..
...every gesture I make
...every bit of pain I feel
...every bit of happiness that I experience
Not a moment goes by when I do not think about you
Who are you???
What is our relationship???
Are you a reality???
Or a pleasant dream???
Hira malik Mar 2018
Subah-e-tamaam kay sozo gar
Khoon main nahay apnay lakht-e- jiggar
Aay soz-e-lab-e- baam, kia naghma gungunao gay,
Har roz ik nae tamanna jagao gay?
Unn hasrat bharay dilon main kia kia saaz bajao gay?
Aay saq-e- dil, yun hasraton main jeena bhe kia jeena
Jiss dil main naan koe hasrat , naan koe tamanna!!!
( its urdu language, that is a mother language in Pakistan)

— The End —