Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Rajat Sharma Jan 2017
Ek arsaa ** gya h aabaadi dkhte dkhte
Ab khushal ped nhi patjhad lubhata h mjhe
Ab to there ishq mai khaak hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab suraj ki roshni nhi andhera pyara lgta h mjhe
Ab upar Jana nhi girna pyara lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai raakh hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ab to dil m pyar nhi dard accha lgta h mjhe
Is bejaan shareer mai khoon nhi nasha acha lgta h mjhe
Ab to tere ishq mai taaj hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Teri ek ek yaad apne ashko se bahani h mjhe
Teri ek ek hasi apne gum se chupani h mjhe
Ab to tere ishq mai zinda laash hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe

Ishq ki maala m vishwas k motiyon ko todna h mjhe
Duniya k jhoote riti riwazo ko todna h mjhe
Ab to tere ishq mai kisi shayar k labo ki awaz hona h mjhe
Ab to bas barbaad hona h mjhe
This poem is written by me in context when a lover has left everything for her beloved one,Now he don't want anything.

Hope you all will like this.

— The End —