Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mohabbat ne yaha logo ko kya se kya bana dala
usse jo heer samjha to mujhe ranjha bana dala
mili mujhko na wo iss baat se shikwa nahi fir v
usse pakar v naa paya ajab kissa bana dala !

akela jab v chalta hu tujhe hi saath pata hu
jami se aashma tak mai tera ehshas pata hu
khudaye ishq ne mujhpe v kya aisa sitam dhaya
mai girna v jo chuahu to sada upar hi jata hu !

tujhe mai pyar se dekhhu ya nafrat ka hawala du
jo jeevan me bhara ** tam to fir kaisa ujala du
mujhe to ishq ne barbaad kar tara bana dala
chamakta hu falak par mai jaami ko kya ujala du !

jaami se ashma ka ** safar tu saath chalta hsi
bina tere mujhe jeevan v ab abhishaap lagta hai
mujhe gum naa judai ka khuda meri yahi sun le
naa tu mujhko samajhti hai naa wo mujhko samajhta hai !!!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
Teri zulfon k chav mei
chamakta yeh chand sa chehra,

Aab isse jyada mai tujse aur kuch na keh raha.

Sunane ko bahut kuch hai
Par sun ne ko koi nahi.

Mana galti thi meri
Kya mai Maafi k layak hu nahi?
Junoon Kanha
Ab pehle ki tarah
Abhi na hosh raha
Aur wajah bhi jeene ki jaise
Dheere dheere
khatam Hoti ja Rahi hai

Bewajah
ya
phir wajah

Daru

Pita hu nukkad nukkad me
Aur dhoondta hu ek theekana
Janha Noor Bhari
pyaar hi pyaar **
.

..
Aur na Milne par
Phir se
Sharaab e gulab
Me Nazar
Aur...
Sharaab Ko hi Humsafar ki tarah ghulta doobta ...ek yaad me
Chun Liya ** jaise...
Har waqt
Har lamha
Khyaal e khwaab me

Aur

chamakta Sitara
Ko tootte hue dekha
Toh phir ek mehfil
Aur
khyaal wohi puraane din ke
Aur
aaj bhi yaad karu
Toh Lage naye jaise taaza
gulaab e nasha ...
Aur Ishq Bhari woh aankhein

Kudrat ka karishma ** jaise

..

Aankh khuli
Par Raha toh mein bas ek sharaabi

Yaadein aur woh neele neele amber
Aur oska Chand ki taraf  dekhna
.


Aur
mein niharta ose
Chandni raaton me
Chand se bhi jaida khubsurat
Ose dekhta mein Haqeeqat me
...
...


...
Aur phir ek kaanch ki bottle tooti
mere haathon me
Khyaal aaya
Ki
Ab mein osse bahot dur ** Chuka hu
...bahot dur...


Aur Ishq jaise...
Najane aankhon me kaed
Aaskhq e beedi
Khud Ko jalata
aur
.
.

.
Kitni bhi koshish Karu
Par oska chehra Nazar aa hi jata
..

...
.
.
Harshit Jain Apr 2017
Aa rahe wo din purane
Kya tumhe kuch bhi khabar hai
Aa rahi shaame suhani
Kya tumhe kuch bhi khabar hai
Aa rahi raatein wahi jab
Milte the chupke se chat pe
milke tera muskurana
Chaand se raushan samaan mai
Teri aankhon ki chamak thi
Aa rahe....

Aankh mai aasun ke moti
Chehre par khilti hansi thi
gum tha jaane ka mere fir
Chaunkhaton pe kyun ruki thi
Rok leti tab mujhe tu
Bus meri wahin khadi thi
Aa rahe....

Ab jo tujhse mai juda ***
Khud se hi mai kyun khafa ***
Mil toh lete hai rojana
aasmaan me jo basa ***
Dekh upar taare ko us
Sabse zyada jo chamakta
Pyar hai usme wo mera
Tujhse mai jo ab bhi karta
Aa rahe....

Fir milenge bol kar mai
Nikla tha ghar se akele
dekh wada toh nibhaya
Tirange mai khud ko lapete
Rona mat tu dekh mujhe yun
Haste mai mara ***
Yaad teri  sang mai leke
Chaand ki seedhi chadha ***
Aa rahe....

— The End —