Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
pnam Jan 2020
Language: Roman-Hindi

dard hota hai ab yun dooor na jaaya kijiye
is theer ko ab is dil me hee rahne dijiye
sah na payega ab ye dil ye tho zara dekiye
kafa hain humse agar tho ek mauka aur dijiye


Translation in English

It hurts now don't stay away
Let this cupids arrow in my heart stay
This heart will not bear can't you see
If you are displeased, another chance I plea
Dated 1992
Bleeding Doc May 2018
ishq pyar mohhabat
ye sabd paraye lagte hai,
anjan *** inke mayano se
ek ehsas iss dil me jise me
mohabat samazha karta tha
jisse dard ke siwa kuch na mila

yeh mehsoos bhi nai hua ki
apne he apnon ke  pankh
kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki thi
jo iss ladkhadate hue ko sahara de sake

fir bhi, dhire dhire iss katon ki
chadar par aage badna hai,
dil yehi kehta rehta hai,
kyunki jhuthi hansi ki kuch
aisi adat si ** gayi hai,
ki ab chahte hue bhi dard
ka ehsas nahin hota hai

naa paresaniya, naa halaat na he koi rog hai
jinhonw hame sataya hai aur koi nahi
wo jhuthe log hai, wo jhuthe log Hai!

jhuthe logon ki duniya me
sachai ki kimat kon jaanega,
toot kar bikhar jayega
jo inse ulajhne ki thanega,
bhalai hai dur rahe aise logon se
jo achai ka naatak karte hai
dhakel denge ye bure daur andhere me
jo girega nikal naa payega!
ishq pyar mohhabat paraye paresaniya rog jhuthe logon ki duniya me

— The End —