Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
Chowdhary Ishrat Jun 2018
Tere Pyaar Ki Inteha Hogyi
Ab To Zulm Ki Inteha Hogyi
Tujhse Boht Ab Wafa Hogyi
Shyd Teri b Poori Wafa Hogyi
Teri Har Galti Mjse Rafa Hogyi
Tujhse To Wafa He Rafa Hogyi
Wafa He Tujhse Khafa Hogyi
Ab To Zindagi b Khafa Hogyi
Jaane Hum Se Kya Jafa Hogyi
Tujhse To Wafa He Jafa Hogyi
Har Khushi Ab Dafa Hogyi
Zindagi Se Ishrat Dafa Hogyi
12:16 AM
20th May 2018
Hum  to  yun  aam   hai,  pur naaz    hotey
Warna  ap   par   bhi   asar   andaz   hotey

Tere  saaz  se  kaha  mili   hai  meri  awaaz
Phir   tere   asraar    ke    humraaz   hotey

Dikhatey hum manatey  hai  yaaru ko kaise
Kabhi  aa.kar wo hum se  to naraaz  hotey

Is Ishq me daikhey  hain  jo  Qatal gah  bhi
Kaash  us   inteha  ke  hum  aghaaz   hotey

Is  bey-jaan shayiri se wo ro padi  Sharafat
Shayir na hotey, kam az kam jaanbaz hotey
A free verse Urdu poem.

— The End —