Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jul 2015
Dar lagne laga hai mujhe ab har khawab se
Ki kahin chhut na jaye tera sath,
Kab aayengi laut ke wo khubsurat pal Jab pakad ke chalenge hum ek dusare ka hath,
Na aane denge gum kabhi tere jeevan me
Bna denge tere har dard ko khushiyo ki raat,


Koi nahin mere zindagi me siwaye tere bina
Jaan lo tum,
Ye dil dharakta hai to sirf tumhare liye
Ese maan lo tum,
chhodenge na sath tumhara saton-janam o humsafar
Kyoki meri pahchan ** tum,
Kyun nahi Kah deti ik bar mujhse ki
Sirf tere hain hum,
sirf tere hain hum .....

Kash! tum hoti mere samne
Karte ek dusare se baat,
Har pal rahta hai mere aankhon ko
teri hi talash,
Bujhake pyaas mere dil ki
pakad lo mera hath,
varshon se baithe hain hum esi intezar me ki
Kab milega mujhe tere sath
ye tera sath
TRUE LOVE
I LOVE TOO MUCH FRD.
Shrivastva MK May 2015
juda hoke tujhse tut jayenge hum ,
Tere bina o sanam ab mar jayenge hum,

O hawa tham ja jara ye to bata de
Kab ek- dusare se mil payenge hum ,
tere bina o sanam ab mar jayenge hum....

zindagi ki dor se tum bandhe **,
Bata do sanam tum mujhse kyon ruth gye **,
Tujhe pane ke liye har dukh sah jayenge hum
Tere bina o sanam ab mar jayenge hum. .. ...

Khud me dhundhane laga hoon tujhe ,
Jaan se bhi jyada chahne laga hoon tujhe
Tu meri kismat me nahi to kya hua,
Teri yaadon ko hi apna zindagi banayenge hum ,
Tere bina o sanam ab mar jayenge hum. .. ..

Rone lagi kalme bhi meri teri yaadon ko likh
kar,
Hansne laga jawana bhi mere dil ki baat soon
kar,
Najane tujhe pane ke liye kitne thokar
khayenge hum,
Tere bina o sanam ab mar jayenge hum. ..

tujhe to meri yaad bhi na aai ,
kaise katengi ye meri tanhai,
tanha yu akela es duniya se chale jayenge
hum,
Tere bina o sanam ab mar jayenge hum. .
LLZ Apr 2020
Toh Kya hua,
Ab hum saath nahi ,
Ek dusare ke paas nahi,
Duriyaa hai darmiya ,
Par ,pyaar ab bhi hai beimteha.
Tumne kaha tha ,
Hum dur ** rahe hai ,alag nahi.
Ha pata hai mujhe ,ki ab phele jaise
Na baat hoti hai
Na mulakat .
Na Teri kadamo ki ahat sunai padti hai,
Na Teri jalak dikhayi deti hai
Ha duriyaa hai darmiya
Par , pyaar bhi hai beimteha.
Suno,
Narajgi bhi tumhi se
Shikayat bhi tumhi se ,
Aur beshumaar pyaar bhi tum se hi hai.
Pyaar tumse tha, hai aur hemesha rahega.
Duriyaa hai darmiya
Par pyaar bhi hai beimteha.

— The End —