Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Janvi shukla Feb 2015
Meri bebasi ka bayaan hai
bas chal raha na iss ghadi
Meri bebasi ka bayaan hai
bas chal raha na iss ghadi

Ras hasrat ka nichod doon
Kas baahon mein aa tod doon
Chaahoon kya jaanu naa
Chheen loon chhod doon
Iss lamhe kya kar jaaun
Iss lamhe kya kar jaaun..
Iss lamhe kya kar doon jo mujhe chain mile aaraam mile
Aur **.. Aur **
Saans ka shor ** aanch bhi aur badhe
Aur **.. Aur **
Saans ka shor ** taap bhi aur chadhe
Aur **.. Aur **
Aur mile hum aur bhi jal jaaye

Tujhe pehli baar main milta hoon har dafaa
Meri bebasi ka bayaan hai

Tujhe chheen loon ya chhod doon
Maang loon yaa mod doon
Iss lamhe kya kar jaaun
Iss lamhe kya kar doon
Jo mujhe chain mile aaram mile

Aur **.. Aur **
Saans ka shor ** aanch bhi aur badhe
Aur **.. Aur **
Saans ka shor ** taap bhi aur chadhe
Aur **.. Aur **
Aur mile hum aur bhi jal jaayein

le le le........
Jiya jiya...
Piya piya...
ye hey....

Main hasrat mein ek uljhi dor huaa
Suljha de ** **.....
Main dastak hoon
Tu bandh kiwaado sa
Khul ja re **
O bebasi mann mein basi
Aa Jeete jeete jee le sapna

Aur **.. aur **
Saans ka shor ** aanch ki aur badhe
Aur **.. aur **
Saans ka shor ** taap ki aur chadhe
Aur **.. aur **
Aur mile hum aur bhi jal jaaye

Ruke se naa ruke
Ye naa thake
Aandhi si jo chale inn saanso ki
Pata bhi naa chale kahaan pe kya jale
Hai darr se, tann-mann ki, siharan se
Hasrat ki, sulgan se
Bhadke aur shola shola
Jale bujhe dhuaan dhuaan
O dhuaan dhuaan
Lage mujhe dhuaan dhuaan o

Meri bebasi ka bayaan hai
Meri bebasi ka bayaan hai
Meri bebasi ka bayaan hai
Megha Thakur Jul 2020
Tu ek khubsurat dhokha hai kadwi sahi par sachayi to maut hai,
Fir bhi mai tujhe hi chahta hu.

Aye zindgi na jane kyu,
Mai tujhe baar baar manata hu.

Apna har ek pal har ek lamha,
Dil khol kar jita jata hu.

Tujhse hai pyar beshumar,
Ye tujhe bina hichkichaahat btata hu.

Apni har galti se,
Mai kuch naya sikhta jata hu.

Ek tere karib ane ke khatir,
Apni har burayi ko dur bhagata hu.

Tere dil me jagah banane ke liye,
Kayi dafaa mai ghut bhi jata hu.

Kaise btau tujhe aye zindgi,
Ki mai tujhe kitna chahta hu.
-Megha Thakur
Tum yaad na karo
Itna, ki mein pagal deewana
Tere pyaar me doob jaun...
Haan teri ishq ki boond e tanha
Mein dhoondhu tumhe har tarfa
Kidhar kidhar har dafaa!
..

— The End —