Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2015
MAA

Maa mamta ki phool hai,
maa pyaar ka samundar hai,
badal de dhukh ko bhi sukh mein,
Maa ke andar karuna ka wo bhandar hai,

Maa duniya ki janani hai,
Maa surya ki raushani hai ,
jinke paas maa hai wo nirdhan nahi ,kyoki
maa wo khushio ki lakshmi hai,

Maa in othon ki muskurahat hai,
Maa baccho ki taqdeer hai ,
Maa hai hamare path nirmata ,
maa us devi ki tasveer hai ,

                PITA

Pita ghar ka anushashan hai,
pita maa ka sindoor hai,
baccho ko sahi galat ki siksha dene wale ,
pita Wo shikshak ki tasveer hai ,

pita ghar ka maan hai ,
Pita us devta saman hai ,
baccho ke bhavishya ujwal karne wala ,
Pita wo takatwar vartamaan hai,

Pita maa ki muskurahat hai ,
Pita maa ki bindiya hai ,
jahan  bashta baccho ka jahan,
Pita ghar ki wo khushia hai ,

maat pita jinke paas wo sabse dhani hai,
na ** kabhi inhe dukh ye pran hume karni hai,
inka Sahara bankar kare inka samman ,
yehi hamare pooja yahi hamare bhagwaan..
Dedicated to my parents
Shrivastva MK May 2015
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum,
tere sikhaye hua rashte par
chalte hain hum,
Maa tujhe kabhi bhi na ** dukh,
eske lia bhagwan se prathna karte hain hum,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. ..


Tere charano me maa
ye dunia sari dhikhti hain,
baccho ke lia maa tu bhagwan si lagti hain,
tujhe maa kabhi bhi na denge dukh hum ,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. ..


Maa apne baccho ke lia
jaan bhi de deti hain,
kahti hain Maa
mere bete tujhe kuchh hone na
denge hum,
Maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum. .
Maa ko dukh dene wale
rote hain aakhri dum .. .
maa tere pyar ke aanchal me
pale bade hum ..
Dedicated to my mother
                                 Shrivastva MK
Meri aankho ka tara hi , mujhe aankhe dikhata hai
Jise har ek khushi de di , wo har gam se milata hai
Jubaa se kuch kahu , kaise kahu , kisse kahu maa hu
Sikhaya bolna jisko , wo chup rahna sikhata hai ||

Sula kar soti thi jisko
Wo ab shab bhar jagata hai
Sunai loria jisko , wo ab taane sunata hai ||

Sikhane me usse kya kuch kami meri rahi sochu
Jise ginti sikhayi galtiya meri ginata hai ||

Tu gahri chao hai gar zindgi ek dhoop hai Amma
Dhara pr kab kaha tujh sa koi swaroop hai Amma
Agar ishwar kahi par hai usse dekha kaha kisne
Dhaa par tu hi ishwar ka koi roop  hai Amma ||

Naa ucchai sacchi hai naa ye aadhar saccha hai
Maa koi cheej sacchi hai naa ye sansaar saccha hai
Magar dharti se ambar tak yugo se log kahte hai
Agar saccha hai kuch jag me to Maa ka pyar saccha hai ||

Jara saa der hone par sabhi se puchti Amma
Palak jhapke bina darwaja ghar ka taakti Amma
Har ek aahat par uska chouk padna fir duaa dena
Mere ghar laut aane tak barabar jaagati Amma ||

|| Puchta hai Koi Dunia me Mohabbat hai kaha
Muskura deta hu mai or yaad aa jati hai Maa ||


Sulane ke lie mujhko to khud jaagi rahi amma
Sirrhane der tak aksar meri baithi rahi amma
Mere sapno me pariya phul titli bhi tabhi tak the
Mujhe aanchal me apne le ke jab leti rahi amma ||

Badi choti rakam se ghar chalana jaanti thi maa
Kami thi par badi khusiya lutana jaanti thi maa
Mai khushhaali me bhi rishto me bas duri bana paya
Garibi me bhi har rishta nibhana jaanti thi maa

Laga bachpan me yu andhera hi mukaddar hai
Magar maa hausala dekar yu boli tumko kya dar hai
Koi aage niklne ke lie rashta nahi dega
Mere baccho badho aage tumhare saath hai amma

Kisi ke jakhm ye dunia to ab silti nahi amma
Kali dil me ab to preet ki khilti nahi amma
Mai apanapan hi akshar dhundta rahta hu rishto me
Teri nischal si mamta to kahi milti nahi amma

Gamo ki bheed me jisne hume hasna sikhaya tha
Wo jiske dam se tufanoo ne apna sar jhukaya tha
Kisi v julm ke aage kabhi jhukna nahi bete
Sitam ki ummr choti hai mujhe maa ne sikhaya tha || ||
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- skdisro.weebly.com
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Tha mai neend me
or mujhe itna
Sajaya jaa rhaa tha
bade pyar se mujhe
Nahlaya jaa raha tha,

Naa jane
tha wo kaun saa ajab khel
mere ghar me
Baccho ki tarah mujhe
kandhe par
Uthaya jaa raha tha,

Tha paas mera
har apana uss waqt
fir v mai
har kisi ke man se
Bhulaya jaa raha tha,

Jo kabhi
dekhte v naa the
Mohabbat ki nigahoo se
unke dil se v
pyar mujh par
Lutaya jaa raha tha,

Maalum nahi
kyu hairaan tha har koi
Mujhe sote hue dekh kar
jor jor se rokar
Mujhe jagaya jaa raha tha,

Kaap uthi meri ruh
wo manjar dekhkar
jaha mujhe
Humesha ke lie
Sulaya jaa raha tha,

Mohabbat ki intaha thi
jin dilo me mere lie
Unhi dilo ke haatho se
aaj mai
Jalaya jaa rha tha!!!!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shrivastva MK Jun 2017
MAA
Maa tere aanchal me humne Sara sansaar dekha hai,
Maa tere aankhon me humne khushiyo ka bahar dekha hai,

Maa tere charano me humne swarg ka dwar dekha hai,
Maa tere dil me humne baccho ke liye pyar dekha hai,

Maa tune Hume sabse pyaar aur samman karna sikhaya hai,
Maa tune srishti Ki rachna kar Ghar ko jannat banaya hai,

Najane bhagwan ne Maa ko kis mitti se banaya hai,
Khud sabhi dard chhupa kar Hume hasaya hai,

Maa tune Hume nau mahine kokh me rakhkar najane kitne dard uthaya hai,
Janm ke baad apna dudh pilakar Hume buddhimaan aur takatwar banaya hai,

Khud roya zindagi bhar jisne Maa ko rulaya hai,
Bhojan ke liye khud bhatakta rha jisne Maa ko bhukhe sulaya hai,

Maa ki sewa karo kyoki esne Duniya bnaya hai,
Khud bhukhe rahkar  bhi hume khilaya hai,

Duniya ka sabse sachha Gyan  Maa  Papa  me hi sikhaya hai,
Khud bhale hi padhe likhe na ** lekin aapko padhakar ek safal insaan banaya hai....
About Mother,and specially dedicated to my lovely Mother

— The End —