Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Hrithik Hiran May 2020
Kabhi chale ** un raahon pe
Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare
Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang
Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang

Kabhi socha na tha ki
Akele bhi chalna padega kabhi
Goonjti hai woh awaaz tumhaari
Jab bhi chalta hu un raahon parr
Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi
Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari
Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein
Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone

Woh baarish..woh dhoop
Sabka kiya tha saamna
Jab haath tha tumne mera thaama
Kya Yaad hai woh fool
Jo tod laayi thi tum uss ped se
Mere yaadon ke Gulshan mein
Khila hai woh fool kabse
Hasrat toh dekhiye
Woh ped bhi na sambhal paaya
Mujhe akela dekhkar
Woh bhi murjhaaya

Yahin chalte waqt kaha tha na
Ki chodogi nahi yeh haath kabhi
Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi
Tumhaare usi saath ki khoj mein hu
Jise laga liya tha apne rooh se kabhi
Sahi kaha tha uss shaks ne ki
Manzil nahi raahon mein junoon pao
Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke
Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele
Kabhi Chalke dekhna
Inhi raahon pe akele
Yaad karna woh beetein hue qisse
Aur ** sake toh mudke dekhna
Dikhunga mein usi mod parr
Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar
Kyunki badal liye tumne apne raahein
Jo kabhi samajh na paayi
meri yeh fitoor nigaahein
Some roads remind you of that special someone... This is about one such road... (Hindi)
Hrithik Hiran May 2020
Chehre pe gira jo woh boond uske
Jhalak ke aayi meri muskan aise
Ke Bikhri hui zindagi mein baras baithe
Khoyi hui aashaon ki baarish jaise

Bhul na paunga woh din
Pehli baarish jo bitayi thi saath mein
Chaatha tha mere paas bhi
Par ghus gaya tumhaare sang mein

Ek choti chathri aur hum do uske neeche
Bheeg rahe the hum aadhe aadhe
Par aise bheegne ka mazaa he hai kuch aur
Jab Aaghosh ke woh pal mile na kabhi aur

Chalte rahe hum aahista apne bus ki or
Kya batau kaise bitaye woh 5 minute
Unke Bheege zulfein jo karr rahe the shor
Chodke use apne bus mein
Bheegta raha uss pal ki yaadon mein

Aaj bhi Barsat jab bhi kare
Chaatha lene ko majboor
Yaad tumhari he karta hu Ke kaash tum hoti
Ghus jaata tumhare he chatri ki chaav mein
Pehli baarish ki un boondon ko chakhne
Ke kya swad aaj bhi wahi hai
Jo uss din chakha tha saath mein humne
This is about that special rain we all have had in our life in HINDI.
Hope you all like it!

— The End —