Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Harshit Jain Apr 2017
Seetaro mai akela chaand si thi wo
Foolon ka mehekta guldan si thi wo
Thi nadi jaisi aviral,chanchal
mere dil ka haal si thi wo

Ghani dhoop mai chav si thi wo
Kisi geet ki addaon si thi wo
Thi hava si mehekti, komal
Mere dil ka bhav si thi wo

Beech majhdhaar mai nav si thi wo
Khusian ka pura gaon si thi wo
Thi koyal si meethi,nishchal
Mere man ka abhiman si thi wo

Paido par wo patto waali hari bhari koi daal si thi wo
Holi ke rango mai sabse saadi ek akeli gulaal si thi wo
Thi wadi kasmiri koi
Mere geeton ka sur aur taal si thi wo

Mandir mai wo shankhnaad si,pooja ka prasad si thi wo
Baarish mai mitti ki khushboo,badal ka dharti se sanvaad si thi wo
Thi meri wo beti pyari,usse hi ghar 'harshit' tha
Mere ghar mai sooraj si,Mere ghar ki shaan si thi wo

Thi ab wo jo nahi rahi,aakhir khata kya thi ki usne
mana hi to kia tha na beta shaadi se,
Par dosti ka haath bhi to badhaya tha
Teri Bezatti toh nahi thi ki usne
Fir kyun tune usko har ghar badnaam kia
Dushman na kare,dost hokar tune aisa kaam kia
Chali gayi ab chhod ke mujhko,wo akele jeevan ki saanjh mai
Meri khushiyan,meri duniya,meri pyari jaan si thi wo
Meri pyari jaan si thi wo
Ankit Dubey May 2019
Na chand ki chandni ko chaha,
Na sooraj ki roshni ko maanga,
Na shauk mange kabhi jo duniya chahti hai,
Na teri banayi shohrat ki unchaiyon ko manga,
Jindagi mangi,
Na kabhi mangi koi mahlon ki shaan-o-shaukat,
Ae mere parwardigar Jara soch tu bhi,
Kuj bhi na diya mujhko mai fir bhi khush tha,
Ek masoom sa pyar karne vala diya mujhko,
Aur vo bhi cheen liya,
Ae khuda tune manga bhi mujhse to kya maanga
Karijinbba Jun 2021
mera dil jayapur bhaarat mein dhadakata hai
~my heart beats in Jaipur India~

Dil ko tumse pyar hua Jayapur
~my heart fell in love
with you in Jayspur India~

mera dil ham jayapur bhaarat mein toot gaya
~my heart is broken in Jayapur India~
~all the way to America.~

mera dil ham sabhee tarah se tod diya amerika aur vaapas karane ke lie

mera dil bhaarat se lekar amerika aur peechhe tak toota hua hai

It just means
My heart is broken all the way from India to America and back.

that's the beauty of being s poetess
we can dream aware
that dreams don't always come true

ek kavayitree hone ke naate yahee khoobasooratee hai

ham sapane dekhate hain ki sabhee sapane sach nahin hote hain
~~~~~
My dear Hello Poetry
I didn't cared for followers
nor comments or denied suns
I was looking for my true love.

mere priy ech.*** sun
mujhe pholoars kament kee paravaah nahin thee aur na hee sooraj sun

mujhe apane sachche pyaar kee talaash thee

I found my beloved asleep
deep in my heart

mainne apane priy ko apane dil kee gaharaiyon mein soya paaya.

~just waiting for my kiss.~
bas mere chumban ke lie intajaar.
Just waiting for my kiss.
~~
By Karijinbba
06-2021
Love is a many splendored thing
Inspired by the few followers
who had wisdom to bet on my future
unselfishly.
benefits to my life story belong only to me
and my kin nobody else here.
Hira malik Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
Bvaishnavi Mar 2021
Kya hai yeh khayalaat,
Jin pe beeth jaathi hai raatein,
Kaun kaat tha hai wakth,
Chaand-sooraj ya gadhi ke ye kaantein,
Sab soch teh hai -kya hothi hai yeh zindagi,
Lo aaj hum bataatein hai,
Zindagi tho kuch nahi ahem tho hai ye mulaakaatein.
Ek mulaakat hai woh,
Jo aksar aathi-jaathi hai,
Jo hamein thod thi hai rulaathi hai,
Woh mulaakat jo hamari har pal ko inthekaam banathi hai,
Aur dhoosri hai woh,
Jisse milne ke liye tarasthi hai sab ki aanke,
Zindagi nahi hai sirf din aur raatein,
Ahem tho hai yeh dho mulaakaatein.

— The End —