Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Grim Reaper Sep 2016
Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge

Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochenge

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin

Kon hamara apna hai , waqt mila to sochenge

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo

Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochenge

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein

Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochenge

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki

Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochenge

Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochenge
Ultimate poetry by Attaullah Khan.  Waqt mila to sochenge..

Video Link:  http://goo.gl/jVSwWC
JAMIL HUSSAIN Nov 2017
**** Damakta, Zulf Ghaneri
Rangin Lab, Ankhein Jadu

Body aflame and curling of locks so thick
Colourful lips and eyes so charming

Sang-e-Marmar, Uda Badal
Surḳh Shafaq, Hairan Aahu

Ivory stone altering so royal-mauve
Evening twilight so red and dazzled gazelles

Raatein Mahki, Sansein Dahki
Nazrein Bahki, Rut Lahki

Fragrant nights and sighs kindling
Glances intoxicating, season so blooming

Prem Khilauna, Sapn Salona
Phul Bichhauna, Vo Pahlu

Game of love, stunning dreams
Flowers spreading, O’ that view

Tum Se Duri, Ye Majburi
Zaḳhm-e-Kari, Bedari

Away from you, so helpless
Penetrating wound and no vigilance

Tanha Raatein, Sapne Katein
Khud Se Batien, Meri Khu*

Lonely nights and biting dreams
Talking to self, my habit so new

✒ Translated by ℐamil Hussain , Sung by Nusrat Fateh Ali Khan

— The End —