Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shofi Ahmed May 2021
Zindagi ki piyala itna borha nahi hai
ki uski andor me lehron ki mujhme
nodia beh sakta hai.
Likhen uski andorme ek bindu
pani bi nahi itna chota
ki isme sagor bon nahi sakta.

Koi yaro achanok milta hai to bolta
kitna chota hai ye donia
Ye mitti andorme bi kya borha?
Khodo to isme kobor bonta hai
Liken agor Mawla chahe to ye
mitti se bi Adam bon sakta hai.

Somundor to somundar
shabnam (dew) bi Subhan Allah!
Aaj kaha aj reh ta hai kal ** jata
Kal ko kisi ko kiya pa tha
Thalu aftab (sunrise) ki canvusme
Ankhi dal kor job sham dol jata hai
Kisi Ko zulf ke saye me bemalum
Kitne ankhi khu ja ta hai
Kis andaar goliche chad aa ta hai
Kiso ki kiya pa tha hai
Liken mera bhi kitna khush naseeb hai
Khali hate aakor bi itni kimti herat angaiz
(amazing) majlish me ek hishya bhi mila.
Mawla karega keyse Aap ka shukrana
Alhamdulillah kiyanat ki Rab taarif Aap ka, Aap ka!
A thought on my birthday perhaps applies to everyone.
Ain Sep 2020
Zakhm tera gul ko Shabnam ki tarah azeez hai lekin.....
Kya karun Shams is Shabnam ko panapne nahi deta. ....
Dard deta to hai yun tujh se bichadne ka khayaal.....
Par khayaal tera mujhe tujh se bichadne nahi deta. .....
pnam May 18
Sehmi chaadar mein, thama hua saath tera
Khushboo se pehchaan loon, jaise pehli dafa
Chaadar ki teh mein, bas ek nishaan hai tera
Lehar choo jaaye, to yaadon ka silsila beh chala

Tu ** to neend shabnam ki tarah utarti hai
Har ek pal mein mohabbat ki khushboo bharti hai
Tu na ** to savera bhi be-sabab jagaata hai
Dil udaas hai aur hawa bhi yaadon mein ruk jaata hai

Woh chaadar jo kabhi saath humne odh rakhi thi
Ab bhi us mein teri adaon ke saaye base hain
Woh lamhe jo teri baaton mein chupke se dhal jaayein
Fasaana ban ke har raat mere paas laut aaye

Tu ** to neend shabnam ki tarah utarti hai
Har ek pal mein mohabbat ki khushboo bharti hai
Tu na ** to savera bhi be-sabab jagaata hai
Dil udaas hai aur hawa bhi yaadon mein ruk jaata hai

Dil ke sheher mein khoobsurat aashiyaana hai tera
Jahaan soch ki lehron pe behta fasaana hai mera
Har khayaalon mein dikha ek naya savera
Aur tanhaai tujh mein milne ka bahaana ban jaaye

Us chaadar mein teri garmi mehfooz hai
Tere saath bitaaye har lamhon ka maahaul qaaim hai
Tu ** to neend shabnam ki tarah utarti hai
Subah ko keh do, kuch der aur ruk jaaye

Palkon band karoon to bhi, tu kahin paas hai
Naqsh teri yaadon ka, har raah mein raas hai
Waqt ke patton pe tera rang chhalakta hai
Aur dil — bas tera, ab aur kya bacha hai?


------------------------------------English Translation--------------
In the Folds of This Quilt

In a quiet quilt, your presence softly stays
I know you by your scent — just like the first time
In its folds, your imprint still lies near
When the breeze stirs, a stream of memories reappears

When you're here, sleep drips down like dew at night
Each moment blooms with love’s gentle light
When you're not, even dawn feels lost and bare
The heart grows heavy, and the breeze just halts in air


That quilt we once wrapped around as one
Still holds the trace of your charms, never gone
Those moments that melted in your hushed replies
Return each night as a tale behind my eyes

When you're here, sleep drips down like dew at night
Each moment blooms with love’s gentle light
When you're not, even dawn feels lost and bare
The heart grows heavy, and the breeze just halts in air

In the city of my heart, there’s a home that’s yours alone
Where my drifting thoughts weave a tale of their own
Each thought unveils a sunrise born anew
And loneliness becomes a path that leads to you

That quilt still holds the warmth you left behind
The air of our moments, in every thread I find
When you're here, sleep drips down like dew at night
Tell the morning — just wait, don’t bring the light

Even with closed eyes, I feel you're near
The map of your memory marks every path clear
On time’s worn leaves, your color softly plays
And this heart — it’s yours, what more remains?
Listen to the audio of this song:
https://youtu.be/C6HCfOfANGQ
Riddhi N Hirawat Jan 2019
Kal fir se wahi din
Kal fir jagi si raatein
Darta hai dil

Darte hain hum
Ki kho na jayein
Bin dekhe shabnam

Andheri raat ke thehre pani mein
Humesha ke liye gumm
Humesha ke liye namm

— The End —