Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. .....
Tumhare sone ke baad bedaar hone ki....
bedaar hone pe tumse pyari si kuch baatein sun ne ki ....
Phir maiƱ kuch kahun phir tum kuch kaho. ....
Phir ab jaana hoga hi bhale se kyun na kaho. ...
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Tumhari jhalak aane ki kab dikhe mujhe. ...
Mere dil ki baaton ko Kab keh paun main   tujhe. ..
MaiƱ ab tak soyi nahi *** tere intezaar mein yeh. ...
Paigham pohunch jaaye bas pata chal jaaye tujhe....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ...

Yeh milon ki doori mite na mite. ...
Yeh waqt ki doori mite na mite. ...
Yeh Din aur raat ka chakkar Kate na Kate. ...
Bas sirf lafzon ke raabte se jud jaaun main phir se. ....
Jaante ** na ke muntazir hoti *** main. ....
Kya pareshaniyan hai yeh intezaar,
Na Khabar, na paigham, na iblagh

What distress this waiting is?
No news, no message, no communication

Aate jaate hain duniya waalon magar,
sakht sozish rehta hai seene mein, yeh intezaar

People come and go in the world,
But a sharp pain remains in my chest, this waiting

Ache aqwaal karte hai bekhauf se,
Lekhin ghari tik tik karta hai, yeh intezaar

They speak words of comfort fearlessly,
But time ticks away slowly, this waiting

Mahine beet gaye mausam guzarte, kya barqarar?
Aatish-e-rut mahol dil mein, yeh intezaar

Months have passed, seasons have changed, what remains?
The fire of longing in my heart, this waiting

Ab yeh jazb aur zakham-e-rooh kya faida?
Shukriya kehta Nacheez, yeh intezaar

Now (after all of this), is there any benefit to this intense passion and spiritual wound?
Nacheez says thank you, in this waiting

— The End —