Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Zindagi ke sabhi raste ek the,
sabki manzil tumhare chayan tak rahi.
aprakashit rahe peer ke upnishad,
man ki gopan kathayein nayan tak rahi,
Praan ke pristh par preet ki vartani
tum mitati rahi, mai banata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi,
Manch se mai tumhe gungunata raha.

Ek khamosh halchal bani zindagi,
gehra thehra hua jal bani zindagi,
tum bina jaise mehlon me beeta hua
urmila ka koi pal bani zindagi.
drishti akaash me aas ka ek diya
tum bujhaati rahi mai jalaata raha.
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Manas Madrecha Jun 2015
English Transliteration - Satya Sarvopari Sarvaat

Jhoot bolna aam ** gaya, par mahimaa satya ki kam naa aanknaa,
Bheetar ki naitiktaa ko, vivek-nayan se zaroor jhaank naa...

Man aur vani ki akhandta, vibhakt ** ne naa denaa,
Jhoot par avalambit **, swa-nistha khone naa denaa...

Kapat aacharan ko apnakar, aarthik sukh hi paaoge,
Sabal charitra banaa lo gar, toh nityaanand tak jaaoge...

Vani par jiske satya sadaa, vachan shakti siddh hogi,
Mukh se upji har shabdaavali, vaastav mein sanghatit hogi...

Abhisandhi ka gar karo prayog, jo logo ko sambhramit kare,
Toh unki nahi, tumhaari mithya, jo aatm ko hi dooshit kare...

Jab jab kanth kare dhwani, prajwalit ** satyajyoti se har baat,
Jhoot gaun samaksh uske, satya sarvopari sarvaat...

- - - - -

English Translation - Truth is above everything

Speaking lies have become common, but don't underestimate the significance of Truth,
Do peep into your inner morality through the eyes of conscience...

Do not let the integrity of Mind & Speech be dissected,
By adhering onto fallacy, do not let your self morale be lost...

By embracing fraudulent behavior, you will only get monetary pleasure,
But if you build a brawny (strong) Character, you will go till Eternal Happiness (Salvation) ...

The one who always has Truth on his Speech, the force of oration will become effectual,
Every vocabulary out from his mouth, will constitute into Reality...

If you do use deceit, for misapprehending the people,
Then the illusion is not theirs, but yours, for it pollutes your own self...

When ever the throat makes sound, let every talk be illuminated with the light of Truth,
Lie is inferior in front of it, Truth is above every thing...

- - - - -

Original Poem - सत्य सर्वोपरि सर्वात्

झूठ बोलना आम हो गया, पर महिमा सत्य की कम ना आंकना।
भीतर की नैतिकता को, विवेक-नयन से ज़रूर झांकना।।

मन और वाणी की अखंडता, विभक्त होने ना देना।
झूठ पर अवलंबित हो, स्वनिष्ठा खोने ना देना।।

कपट आचरण को अपनाकर, आर्थिक सुख ही पाओगे।
सबल चरित्र बना लो गर, तो नित्यानंद तक जाओगे।।

वाणी पर जिसके सत्य सदा, वचन-शक्ति सिद्ध होगी।
मुख से उपजी हर शब्दावली, वास्तव में संघटित होगी।।

अभिसंधि का गर करो प्रयोग, जो लोगो को संभ्रमित करे।
तो उनकी नहीं, तुम्हारी मिथ्या, जो आत्म को ही दूषित करे।।

जब जब कंठ करे ध्वनि, प्रज्वलित हो सत्यज्योति से बात।
झूठ गौण समक्ष उसके, सत्य सर्वोपरि सर्वात्।।

© Poem by Manas Madrecha
This poem was first published on the blog 'Simplifying Universe'
(http://www.simplifyinguniverse.blogspot.com) in May, 2015.
Hai naman unko ki jo iss deh ko amaratwa dekar...
Iss jagat me shaurya ki ziwit kahani ** gye hai...
Hai naman unko ki jinke saamne bauna haimalya...
Jo dhara par gir pade par aashmani ** gye hai...
hai naman unko....

Likh chuki hai vidhi tumhari veerta k punya leke...
Vijay k udhgosh geeta k kathan tumko naman hai...
Sindoordaano ki gathao desh hit pratipatth yaowank dapan
tumko naman hai...
Bahan k bishwas, bhai k sakha, kul k sahare, pita k vrat k falit
Maa k nayan tumko naman hai...
Ki hai naman unko ki jinko mrityu paakar hui paawan...
Sikhar jinke Charan chukar or maani ** gye hai...

Ki hai naman unko ki jinke saamne bauna himalaya...
Jo dhara par gir pade par aashmani ** gye hai...
hai naman unko....
Copyright© Shashank K Dwivedi

email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
kundan kumar May 2015
chahtein bhi aisi thi ki mai hothon se bayn kr  n payan
jajbat bhi aisi thi ki dil se dharkan tak n pahuchan payan
kuchh guftgun kar rahi thi meri chahtein
dil me lahron ki tarah daur rahi thi meri chahtein
bas us bandh ko tod dena chah rahi thi meri chahtein
lekin wo palkon ko n bhed payan
lahar ki ek bhi bund nayan se n nikal payan
chahtein bhi aisi thi ki mai hothon se bayn kr  n payan
jajbat bhi aisi thi ki dil se dharkan tak n pahuchan payan

— The End —