Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aabid Rumi Apr 2017
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi
                                                DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat
Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat         2
Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat


Hai nhi yakeen mujko  lakeeroon pay
Mainay  toh ,mohobat nigahoon say ki hai
Chahai kismat mai jo bhi likha **
Mainay toh mohobat  sirf tumsay ki hai

Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar  tumpay aay mohobat
Jhoota  he sahe  par karle izhaar  tumsay aay mohobat
Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai
Har mode pay naye  humko humraah mil rahai hai
Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi
Jaanay yeh  hawaa kis sang guzar rahai hai

Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat
Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
life without love is meaningless
Shrivastva MK May 2015
Tu meri aakhiri abhilasha,
Pyar karle tu mujhse jara sa,
etna bhi mat ban anjan tu,
waqt dede apna thora sa,
Tu meri aakhiri abhilasha,
Tu meri aakhiri abhilasha. ...


wothon par meri muskan teri hain,
**** me mere jaan teri hain,
Dil to samjhta hain sirf pyar ki bhasha,
Tu meri aakhiri abhilasha. ..,


Tere bin sari duniya suna sa,
Rahne laga hoon main mra mra sa,
Mud ke dekh lo sanam jara sa,
tu meri aakhiri abhilasha,
tu meri aakhiri abhilasha.. .. ..


Jab se tera main ** gya hoon,
tere khawabo me kho gya hoon,
Kyon khafa ** mujhse bata do zara sa,
tu meri aakhiri abhilasha.. .,


tere dard ko maine apna bna liya,
apni sari khushi tujhpe luta diya,
Kyoki do dilo ka milan hi hota hain
pyar ki paribhasha,
Tu meri aakhiri abhilasha,
tu meri aakhiri abhilasha.. ..
Juwayriya Sep 2021
Dard bhi kya sikandar hai.
Is ko na kisi ki fikar, na dar hai.
Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai.
Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai.
Bas dard hi dard hai.
Dard se bachna hai.

Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath.
Chhin jaane ka dar,
Nazar lag jaane ka dar,
Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar.

Lekin dard ko kis cheez ka dar?
Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye,
toh phir kis baat ka dar?

Kitni ajeeb baat hai,
aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka.
Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai,
toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka.

Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai.
Magar dard hi toh azaadi hai.
Yeh khaathma nahin.
Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai
----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
Shabnam Apr 2021
Har chehra pur Noor lagta hai..
Har dill me suroor lagta hai.
Aayi jo neki ki bahar hai..
Gunaah ab dur lagta hai.
Har aan ek nayi justujoo hai..
har banda ab ibadatguzaar lagta hai.
Rozedar ki aankhon me Khuda ki Raza ki aarzoo hai..
Aur Khuda apne bandon ke sabar par guroor karta hai.
Qubool karle Sub ki neki Ya Rabb!
Bandi ki is ilteja ko maan le, Tu bada  Ghafoor lagta hai!

— The End —