Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Joshua Haines
26/M/Father, Husband, Writer    Wear a mask.

Poems

Shrivastva MK May 2015
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha sabhi ka samman kiya jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha sabhi logo me ekta hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha atithi ko bhagwan ka darja diya jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha aurato ko devi kaha jata hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha hindu muslim sikh esai sabhi bhai bhai hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha mata pita ko dharti ke bhagwan mana jata hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha sabhi log desh ke liye marte hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha mahatma gandhi, Bhagat singh, Subash chandra bose jaise beero ne janam liya tha,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jaha par sanchai aur ekta mishal hain,
Hum us desh ke vashi hain....
Jaha ki nadiya sudha jal deti hain,
Hum us desh ke vashi hain.....
Jise log bharat ya india kahte hain...
      JAY HIND
               JAY BHARAT
Hindi
Shrivastva MK Aug 2017
Humne bhi bahut kuchh es dil me daba rakhe hain,
Apna pyar es duniya se chhupa rakhe hain,
Na ** kisi ko bhi ehsaas mere dard Ka isliye,
Apni Mayushi ko bhi muskan bana rakhe hain,
Muskan bana rakhe hain,

Unki khubsurat tasveer apni bhingi aankho me basa rakhe hain,
Unki harek Baat apni hothon pe saza rakhe hain,
Labon pe ** sirf unka naam isliye,
Apne man ko bhi unki yaadon Ki duniya me bitha rakhe hain,
Bitha rakhe hain,

Najane ye pyar kitno ko parwane bana rakhe hain,
Kisi ko amar to kisi ko bas khwabo me basa rakhe hain,
Pyar ko bhi kabhi pyar Ki kami mahsoos hue honge,
Tabhi to pyar ne bhi Pyaar me Zudai bana rakhe hain,
Zudai bana rakhe hain....
Shrivastva MK May 2015
Ai dil tu etna beqarar kyon hain,
Jise kabhi na thi teri fikra
wohi tere liye aaj khas kyon hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain. ..


Gam ke saye me ghut ghut ke ji raha hoon,
aanshuo ko apne jaam ki tarah pi raha hoon,
phir bhi meri aankhon me
teri hi aas kyon hain,
Ai dil tu etna beqarar kyon hain,
Ai dil tu etna beqarar kyon hain..


aasman me tujhko dhundhta hoon,
chand ki tarah tujhko pujta hoon,
aankhon me teri jhalak ke liye ek kasak kyon
hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain,
jise kabhi na thi teri fikra
wahi tere lia aaj khas kyon hain..


tumhare lia jo sajaye the sapne humne,
un sapno ko tor kahan chale gye tum,
aaj bhi teri yaadon ke
dil me mere ek khawab kyon hain,
ai dil tu etna beqarar kyon hain ..