Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Sep 2017
Teri khubsurat tasveer ko churane ko mann karta hai,
Tujhe dekh teri tasveer me muskurane ko mann karta hai,
Churalu mai tere sare gumo ko,
Phir se mujhe usi pyaar me kho jane ko mann karta hai,

Tujhe apna banane ko mann karta hai,
Tujhe duniya se chhupane ko Mann karta hai,
Na lag jaye tujhe duniya Ki nazar,
Khud kajal ban Teri aankhon me bas Jane ka Mann karta hai,

Bhawra ban phir se gungunane ko Mann karta hai,
Pawan ban tere baalon ko udane ka Mann karta hai,
Hamesha rahu mai tere pyare hothon par
Banke ek pyari si dhunn tere hothon se gungunane ko Mann karta hai....
Bleeding Doc Feb 2019
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai,
Labzo me jo baat keh naa saka
Geet me gungunane ko dil chahta hai |

Kaun kehta hai ki tujh se pyar karte hai log
Bas jarurte puri karte hai log |
Jab tak zinda hai sauhrate hai teri,
Mare **** ko bhi kahan ghar me rakhte hai log |

Na koi hai tera na tu hai kisika
Jo chahe tuje tu ban jaa usi ka
Khel matlab ka duniya ne khela sada hai
Tu bhi hissa usika me bhi hissa usi ka

Jala ke **** ko rakh baha de nadi me
Aisi duniya se chutkara dil chahta hai
Aaj phir se uthai kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |

Yun to chalti rahi jindagi na ruki,
Koi aata raha koi jata raha |
Kayi khel ke dil se mere khilone ki tarah
Dil ko apne har dum behlata raha |

Kisi ne chaha kisi ne toda muje,
Me phir bhi sada muskurata raha |
Kabhi roya kabhi sadme me beh gaya,
Dil ko har baar apne behlata raha |


Badi faramaush hai duniya samaj me gaya,
Fir bhi kisi ko chahne ko dil chahta hai
Aaj phir se uthai Kalam hath me
Kuch batane ka panno ko dil chahta hai |
Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai  
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai  

Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon  
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon  

Tum chalti ** to hawa gungunane lagti hai  
Tum bolti ** to khamoshi bhi jagti hai  

Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye  
Har lamha teri qurbat ki dua kiye  

Magar tum door **, yeh faasle kyun hain?  
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?  

Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein  
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein

— The End —