Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Nov 2015
In labon ki khushi byan karta ***,
Mai tumse pyaar karta ***,
Ai khuda, na chhin lena ye lamha bhi mujhse, kyoki
Dil ke mandir   me mai unhe bhagwan ki tarah pujta ***,

In labon ki khushi byan karta ***,
Apni tasveer unhe samjhta ***,
Jab nind se band ** jati hai ye aankhen,
Mai sapno me bhi unhi ka intezar karta ***,

In labon ki khushi byan karta ***,
Apne jeevan ki dor unhe samjhta ***,
Unki muskurahat na chhute kabhi unke othon se, isliye
Har roj mai unki khushi ke liye dua karta ***,

In labon ki khushi byan karta ***,
Apne aankho ke aansoo unhe samajhta ***,
Wo Hamesha en aankhon me chhalakati rahe, Isliye
Hum Hamesha unki yaad me rota rahta ***...
Real feelings about real love....

True love....
Shrivastva MK May 2015
Tu meri aakhiri abhilasha,
Pyar karle tu mujhse jara sa,
etna bhi mat ban anjan tu,
waqt dede apna thora sa,
Tu meri aakhiri abhilasha,
Tu meri aakhiri abhilasha. ...


wothon par meri muskan teri hain,
**** me mere jaan teri hain,
Dil to samjhta hain sirf pyar ki bhasha,
Tu meri aakhiri abhilasha. ..,


Tere bin sari duniya suna sa,
Rahne laga hoon main mra mra sa,
Mud ke dekh lo sanam jara sa,
tu meri aakhiri abhilasha,
tu meri aakhiri abhilasha.. .. ..


Jab se tera main ** gya hoon,
tere khawabo me kho gya hoon,
Kyon khafa ** mujhse bata do zara sa,
tu meri aakhiri abhilasha.. .,


tere dard ko maine apna bna liya,
apni sari khushi tujhpe luta diya,
Kyoki do dilo ka milan hi hota hain
pyar ki paribhasha,
Tu meri aakhiri abhilasha,
tu meri aakhiri abhilasha.. ..
Abhishek kumar Aug 2018
Na amiro ki basti mein rhta hu
Na hi gareebo ke aashiyane mein
Middle class ka hua
Middle mein rhta hu

Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu
Na hi aakhar mein khada rhta hu
Middle class ka hu
Middle mein rhta hu

Na croro ka kabaar  hai
Na hi gulabi note hazar hai
Middle class ka hu
Meri jarurate saman hai

Na luxury car hai
Na nhi cycle apni bekar hai
Middle class ka hu
Auto,riksha, paddle chalna
Apne liye aam hai

Na meri girlfriends char hai
Na hi single rhna izzat ka swaal hai
Middle class ka hu
Apne yaar,dost shandaar hai

Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai
Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai
Middle class ka hu
In dono ke beech
Kaat leta apni raat hu

Na videsh ghoomnta hu
Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu
Middle class ka hu
Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu

Na sir jhukane wale log hai
Na hi sir jhukane wale hum hai
Middle class ka hu
Sabko gale lagana hi
Apna dharam hai

Na hi ac mein kaam karta hu
Na hi dhoop mein pasina sukhata hu
Middle class ka hu
Pankhe ke niche apna kaam karta hu

Na suraksha karmi apne pass hai
Na hi sarir apna lachar hai
Middle class ka hu
Apni jaan ki raksha apne hath hai

Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai
Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai
Middle class ka hu
Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
Shrivastva MK Apr 2018
Dil ke ehsaas hote hain bhut khaas,
Shayad tabhi umadte hai bhut sawaal iske paas.
Tuta dil or tuta darpan hai ek samaan,
Jodne ki koshish karenge tou hoga kudh ko hi dard jiska nahi hai koi bakhaan.


Dil, Dil se milte hai tou pyar hota hai,
Dil, Dil ke liye hi beqarar hota hai,
Ye lafzon ki bhasha nahi samjhta saab,
Ye tou us nayno ke andaaz ko hi smjh leta hai


Yaaron dil kabhi kisi ka dukhana nahi,
Beshak tutne ki awaaz aati nahi.
Par khuda kasam dard bhut hai hota,
Jab ye nanha dil hai rota.

Jab kabhi hum khud se hi ruth jatey hai,
Dil rota hai aur aankhon se ashq tapak jaatey hai,
Ye bahut nadaan hota hai,
Bin soche hi pyar kr leta hai

Bin ankhiyon ke dekh leta hai bahut kuch,
Bin kaano ke sun leta hai har raag sach much.
Haal apne dil ka suna nahi sakte
Ujad gayi hai duniya jo thi khubsurat isme baste

Sab kuchh es chhote dil me chhipa ke bhi chup rahta hai,
Puri duniya ka dard bhi dedo tou aah tak nahi bharta hai,
Kabhi khush hokar muskura deta hai,
Tou kabhi taklifon ko dekhkar tut bhi jata hai.


Collaboration by Manish Shrivastva and Sonia Paruthi

— The End —